Ajab rishta hai...

Ajab rishta hai mera Tum se aur Tanhai se........

Tum pas ho to woh rooth jati hai............

Woh paas ho to Tum door nazr aaty ho.......!!

Bohat Aasan Hai Kehna...


Bohat Aasan Hai Kehna

Muhabbat Tum Say Karta Hoon

Magar Matlab Mohabbat Ka

Samaj Lena Nahi Aasan

Muhabbat Paa Kay Kho Dena

Muhabbat Kho Kay Paa Lena

Yeh Un Logo K Qessay Hain

Muhabbat Kay Jo Mujrim Hain

Jo Mill Janay Pay Hanstay Hain

Bichar Janay Pay Rotay Hain

( Sunoo )

Muhabbat Karnay Walay To

Bohat Khamosh Hotay Hain

Jo Qurbat Mein Bhi Jeetay Hain

Jo Furqat Mein Bhi Jeetay Hain

Na Wo Faryad Kartay Hain

Na Wo Ashkoon Ko Peetay Hain

Mohabbat Kay Kisi Bhi Lafz

Ka Charcha Nahi Kartay

Wo Mar Kar Bhi Apnay Chahat Ko

Ruswa Nahi Kartay.....

Bas uthai hi thii..


Bas uthai hi thii kalam do bol likhne teri tarif k,
Likhte likhte ye aalam hua k gazal bangai

Mujhe maloom hai mera...


Mujhe maloom hai mera muqaddar tum nahin lekin...
Meri taqdeer se cHup kar mujhe ik baar mil jaao!!

Yeh Teri judai...


Yeh Teri judai ka gham nahi k yeh silsaly to hain roz ky..
Teri zaat is ka Sabab naheen kaye din sa Youn hi Udaas hon..

Teri Ek Haasi...


Teri Ek Haasi Pe Yeh Dil Qurbaan Kar Jaun
Aitraaz Na Ho Agar To Tera Dil Chura Le Jaun
Na Behne Du Kabhi Inn Aankho Se Aansu
Tu Kahe To Tere Saare Sitam Seh Jaun

Hasta Hua Rakhu Tere Labon Ko Hamesha
Chumkar Jinhe Woh Pyaari Muskaan De Jaun
Seene Se Laga Ke Rakhu Tumhe
Mann To Karta Hai Tujhme Sama Jaun

Sunti Hi Rahu Tumhari Dhadkano Ko
Aur Apne Dil Ki Har Baat Keh Jaun
Gham Ko Kabhi Kareeb Na Aane Du
Aur Tumhe Zindagi Ki Khushiyan Tamam De Jaun

Ajeeb Lutf aa...


Ajeeb Lutf aa raha tha Dilbar ki Dil lagi ka..
K nazren bhi mujh pr thi Aur parda bhi mujh se tha..

apna tou ban...


Apnay maan mein doob ker pa ja suragh-e-zindagi,
Tu ager MERA nahi banta na ban, apna tou ban...!

Meri aankhon se...


Meri aankhon se jo khowab dekho tm....
to shab bhar na so sako gay....
hazaar chaho na hans sako gay....
laakh chaho na roo sako gay....
ye meri palkon ki jo jhilmil hai....
tmhari chahh k jugnu hain ......
jo chaho mitana bhi to na mita sako gay tm...

Phir Kisi Yaad Nay...


Phir Kisi Yaad Nay Raat Bhar Hay Jagaya Mujh Ko,
Kiya Saza Di Hay Mohabat Nay Khudaya Mujh Ko,

Din Ko Aaram Hai Na Rat Ko Hay Chain Kabhi,
Janay Kis Khaak Say Kudrat Nay Banaya Mujh Ko,

Dukh To Yeh Hay Keh Zamanay Main Milay Ghair Sabhi,
Jo Mila Hay Woh Mila Ban Kay Paraya Mujh Ko,

Jab Koi Bhi Na Raha Kandha Mere Ronay Ko,
Ghar Ki Deewaron Nay Seenay Say Lagaya Mujh Ko,

Yub To Umeed-E-Wafa Tum Say Nahein Hay Koi,
Phir Charaghon Ki Tarah Kis Nay Jalaya Mujh Ko,

Bewafa Zindagi Nay Jab Chor Diya Hay Tanha,
Maot Nay Piyar Say Pehloo Main Bithaya Mujh Ko,

Woh Diya Hoon Jo Mohabat Nay Jalaya Tha Kabhi,
Gham Ki Andhi Nay Subah Aur Shaam Bujhaya Mujh Ko,

Kaisay Bhoolon Ga Tere Saath Guajare Lamhay,
Yad Aata Raha Julfon Ka Hi Saya Mujh Ko....

Yadon Sey Rishta.......


Yadon Sey Rishta Kal Bhi Tha,Yadon Sey Rishta Aaj Bhi Hai,
Dil Kal Bhi Apna Dukhta Tha,Dil Afsurda Sa Aaj Bhi Hai,

Tum Door Huvey Majboori Mein,Hum Toot Gaye Is Doori Mein,
Kabhi Waqt Miley Tu Lout Aana,Ye Dil Ka Dar Wa Aaj Bhi Hai,

Tum Khush Ruho Abaad Ruho, Dil Apna Tu Barbaad Huwa,
Gham Dil Ka Sahara Kal Bhi Tha,Aur Gham Ka Mara Aaj Bhi Hai,

Yeh Ashk Nahi Hain Aankhon Mein,Ye Taarey Jhilmil Kartey Hain,
In Ankhon Mein Jo Kal Tak Tha,Vohi Chaand Sa Chehra Aaj Bhi Hai,

Ab Shikwa Kisi Se Kya Karna,Taqdeer Mein Jo Likha Tha Mila,
Gham Kal Bhi Mera Sarmaya Tha,Gham Mera Virsa Aaj Bhi Hai,

Woh mil jatey hain...


Woh mil jatey hain kahani bankar,
Dil mein bas jatey hain nishani bankar...
Jinhe hum rakhte hain apni aakhon mein,
Kyun nikal jatey hain wo pani bankar...
Khayaalo ko kisi aahat ki aas rehti hai,
Nigaahon ko teri talaash rehti hai...
Tere bina koi kami nahi lekin,
Tere bagarr tabiyat udaas rehti hai...

Teray Honay Par...


Teray Honay Par Bhi Khud Ko Tanhaa Samjhoon,
Mein Bewafaa Hon Yah Tujh Ko Bewafaa Samjhoon...

Teri Be Rukhi Se Waqat To Guzar Gaya Hai Mera,
Yeh Khud Daari Hai Yah Teri Aana Samjhoon...

Teray Baad Kiya Haal Hoa Hai Mera,
Yeh Teri Inaayat Hai Yah Teri Sazaa Samjhoon...

Zakham Daitay Ho Aur Marham Bhi Lagatay Ho Wasi,
Yeh Teri Aadat Hai Yah Aada Samjhoon...

Tum Jo Hotey...


Tum Jo Hotey To Mujhe Kitna Sahara Hota,
Mein Ne Auron Ko Na Dukh Mein Pukara Hota...

Jitni Shiddat Se Wabasta Tha Mein Tujh Se,
Kis Tarah Mera Tere Baghair Guzara Hota...

Mujh Ko Yeh Soch Hi Kafi Hai Jalaney K Liye,
Mein Na Hota To Koi Aur Tumhara Hota...

Aur Hum Khamoshi Se Roye Jatey,
Shaam Hoti Sharab Hoti Aur Kisi Dariya Ka Kinara Hota...

Najane Kaun...


Najane Kaun Duaon Main Yaad Rakhta hai...
Main Doobta Hun Samander Uchaal Deta Hai...

Jaagty rahny sy bhi...


Jaagty rahny sy bhi Rukty hain kia Behty hoay Ansuu...
Umar Bhar ho gi ye Barsat Chalo Soo Jaen...

Apko Chahne Wale...


Apko Chahne Wale Kam Na Honge...
Waqt Ke Sath Shayd Hum Na Honge...
Ap Kisi Ko Kitna B Pyar Kar Lena...
Par Yaado Ke Asli Haqdar Sirf Hum Hi Honge....

Tapak Padte Hen...


Tapak Padte Hen Ansoo Jb Tumhari Yad Aati He ,
Ye Wo Barsat He Jiss Ka Koi? Mosam Nahi Hota...

Tujhe Chor bhi


Tujhe Chor bhi nahi Saktay, tera ho bhi nahi Sakte,
Ye kaisi bebasi hai aaj ham ro b nahi saktay,
Ye kaisa dard ha pal pal hamain tarpai rakta hai,
tumhari yaad aati hai tu phir so be nhi saktay
Chupa saktay hain aur na hum dekha saktay hain logon ko,
Kuch aisay daagh hain dil par jo hum dho be nhi saktay,
kaha tha chor daingay ye nagar, phir ruk gay lakin,
Tumhain pa tu nahi saktay magar kho bhi nahi saktay...

Phir Kisi Yaad...


Phir Kisi Yaad Nay Raat Bhar Hay Jagaya Mujh Ko,
Kiya Saza Di Hay Mohabat Nay Khudaya Mujh Ko,

Din Ko Aaram Hai Na Rat Ko Hay Chain Kabhi,
Janay Kis Khaak Say Kudrat Nay Banaya Mujh Ko,

Dukh To Yeh Hay Keh Zamanay Main Milay Ghair Sabhi,
Jo Mila Hay Woh Mila Ban Kay Paraya Mujh Ko,

Jab Koi Bhi Na Raha Kandha Mere Ronay Ko,
Ghar Ki Deewaron Nay Seenay Say Lagaya Mujh Ko,

Yub To Umeed-E-Wafa Tum Say Nahein Hay Koi,
Phir Charaghon Ki Tarah Kis Nay Jalaya Mujh Ko,

Bewafa Zindagi Nay Jab Chor Diya Hay Tanha,
Maot Nay Piyar Say Pehloo Main Bithaya Mujh Ko,

Woh Diya Hoon Jo Mohabat Nay Jalaya Tha Kabhi,
Gham Ki Andhi Nay Subah Aur Shaam Bujhaya Mujh Ko,

Kaisay Bhoolon Ga Tere Saath Guajare Lamhay,
Yad Aata Raha Julfon Ka Hi Saya Mujh Ko

Kabhi Dil Ko...


Kabhi Dil Ko Kabhi Shamma Ko Jala Kar Roye,
Teri Yaad Ko Dil Se Laga Kar Roye,
Raat Ki God Mein Jab So Gayi Duniya Sari,
Chand Ko Teri Tasveer Banaker Roye...

Yadon Sey Rishta...


Yadon Sey Rishta Kal Bhi Tha,Yadon Sey Rishta Aaj Bhi Hai,
Dil Kal Bhi Apna Dukhta Tha,Dil Afsurda Sa Aaj Bhi Hai,

Tum Door Huvey Majboori Mein,Hum Toot Gaye Is Doori Mein,
Kabhi Waqt Miley Tu Lout Aana,Ye Dil Ka Dar Wa Aaj Bhi Hai,

Tum Khush Ruho Abaad Ruho, Dil Apna Tu Barbaad Huwa,
Gham Dil Ka Sahara Kal Bhi Tha,Aur Gham Ka Mara Aaj Bhi Hai,

Yeh Ashk Nahi Hain Aankhon Mein,Ye Taarey Jhilmil Kartey Hain,
In Ankhon Mein Jo Kal Tak Tha,Vohi Chaand Sa Chehra Aaj Bhi Hai,

Ab Shikwa Kisi Se Kya Karna,Taqdeer Mein Jo Likha Tha Mila,
Gham Kal Bhi Mera Sarmaya Tha,Gham Mera Virsa Aaj Bhi Hai,

Hum Ne Mangi Thi...


Hum Ne Mangi Thi Ujale Ki Faqt Ek Kiran....
'JAAN'
Tum Se Ye Kis Ne Kaha Aag Laga Di Jae....!!!!!?

Yun bhi hua hai...


Yun bhi hua hai raat ko jab log so gae,
Tanhai..or hum teri yadon men kho gay,
Aa dekh tujh se log jo rehtey they door door,
Saaye men teri zulf k chup chaap so gae,
Hum wo jo saarey sheher k kertey they faisley,
Hum log teri chaah men ruswa bhi ho gay,
tum kya gay k wakt ka ehsas mar gya,
raaton ko jaagtey rahey or din ko so gae,
Ab zindagi k mailey men dhoonda kren gay log,
Arzaan huey hain itney k nayaab ho gae........!!!

Aur bhi ker deta


Aur bhi ker deta hai dard men izafa mohsin,
Terey hotey huey,orun ka dilasa dena...!!

Sirf Bandish-e-Alfaz...


Sirf Bandish-e-Alfaz Hi Kafi Nahi GHAZAL Mein
Jigar Ka Lahu Bhi Chahiye Sacchai K LIye

Jab bichar kar


Jab bichar kar tary is dil sey chala jaonga...
Dil ko seney main na paogi to yad aaonga...

Aanchal Tere Yaadon Ka...


Jou Barish ki Tamna hai....


Barish Ka Ye Mausam...

Ka ye

Tumhi ko apna bna...


Tumhi ko apna bna k khush thay tumhi ko apna bna k roye...
Tumhari qurbat ki arzoo thi tumhi ko nazdeek pa k roye...
Zamany bhar say kareen gila kia kisi nay hum say kia bhala kia...
Wo jin ko dil main bsaya tha hum nay unhi ko dil main bitha k roye...
Najany kaisi udas rut thi k chand par bhi afsordagi thi...
Wo jo bhi guzry thay us gali say wo chandni main naha k roye...

Kahan Hotay Ho?


Hijar Mein Khoon Rulatay Ho,Kahan Hotay Ho?
Laut Kar Kyun Nahi Aatay Ho,Kahan Hotay Ho?
Mujh Se Bichray Ho To Mehboob e Nazar Ho Kis k?
Aaj Kal Kis Ko Manaty Ho,Kahan Hotay Ho?
Yaad Aati Hain Akaily Mein Tumhari Neendein
Kis Tarah Khud Ko Sulaty Ho,Kahan Hotay Ho?
Tum To Bichray They Khushion Ki Rafaqat k Liye
Ab Kiun Ashk Bahaty Ho,Kahan Hotay Ho?
Shehar k Log b Kartay Hain Ab Yehi Sawal
Tum bohat Kam Nazar Aatay Ho,Kahan Hotay Ho…???

Hum tu har baat...


Hum tu har baat khuda pay chor dety hain...
Totay na dill kisi ka dill apna tor dety hain...
Main bhi insan hoon pathar tu naheen...
Jo log har tofan ko meri taraf more dety hain..

TUMHARE BIN AB JEEYA NAHI JATA...



Badhti howi betaabiyan Intezaar bhari shamen Beqaraar see meri raaten Be noor hain meri aankhen Koi bhi rang nahi bhaata Tumhare bin ab jeeya nahi jata...
Badhti howi khamosheyan Jaagti raaten lambe din Aankhon main kuch khowab adhurae Laboon per aadhi baat Aadhi baat bhi uljhe see Uljhe batoon k saath raha nahi jata Kya karen kuch kiya nahi jata Tumhare bin ab jeeya nahi jata...!

Kabhi Waqt Mile...


Mere Zindagi Mein....


Na hai Dushmahi...


Na hai Dushmahi kisi Din say ab
Na hai Doosti kisi Raat say
Hai Bacha hi kiya jo woh ley gaya
Mujhe cheen kar meri zaat say
ye Muqaam tha hi Ajeeb sa
k main khud ko bhi na Bacha saka
Na main paas usko bula saka
Na main Dil ki baat suna saka

Ye bhi theek hai k...


Ye bhi theek hai k wo chal de Mujhe band rasty pe choor kr...
Ye bhi theek hai k na aay ge khabi Butt Anna ka wo torr kr...
Wo Judda bhi aisy howe k main koi Rassam bhi na Nibha saka...
Na Main Pass Usko Bula Saka Na Main Dil ki Baat Suna Saka...
Wo Hanstey Hanstey Main Hi Chal De K Main Haath Tak Na Hala Saka...

Khud hi nigah


Khud hi nigah jhuk gai Samne jab wo aa gaeye
Yun bhi ada kabhi kabhi rasm-e-Salaam ho gai...

Firaq ki baarish...


Firaq ki baarish, malaal ka mausam
Hamary shehr main utra kamaal ka mausam....

Woh ik dua jo meri na'muraad laut aai
Zabaan se rooth gya phir sawaal ka mausam...

Bohat dinon se mere zehn k darichon mein
Thehr gya hy tmhare khayal ka mausam...

Mohabbtain bhe teri dhoop chaaon jesi hen
Kabhi ye hijar kabhi ye wisaal ka mausam...

Koi mila hi nhi jis ko sonptey MOHSIN
Hum apne khawab ki khushboo, or khayal ka mausam...

Faqat pehluu badalney...


Faqat pehluu badalney se
Rafaaqat kam nahi hoti
Magar phir bhi naa milney ki
Aziyat kam nahi hoti
Jahaa'n koi bichad jaaye
Wahi'n par uski manzil hai
Kisi ke saath chalney se
Musafat kam nahi hoti
Hamare dushmano'n mein
Chahney waale bhi shamil hay
So hum jis haal mein bhi ho
Mohobbat kam nahi hoti...

Lahu lahu hai ye...


Lahu lahu hai ye dil ki kitab mut dekho...
K zukhm zukhm hai sara nisab mut dekho...
Tumhari ankh ki beenai ja b sakti hai...
Wo aaaye baam pay to benaqab mut dekho..
Ye toot toot k bikhrain gay teri ankhon say....
Kaha nahein tha k sheeshay k khuwab mut dekho...

Chalta tha kabhi...


Chalta tha kabhi hath mera tham kar jis par..
Karta hai bohat yad wo rasta usay kahna..
Umeed wo rakhay naa kisi or say faraz..
Har shakhs mohabat nahi karta usay kahna.

Bada Sath Dene Ka...


Bada Sath Dene Ka Vada Kiya Tha,
Sikwa Sehne Ka Vada Kiya Tha,
Agar Wo Hume Bhulakar Khush Hai To Koi Gham Nahin ,
Kyun ki Humne To Unko Khush Rakhne Ka Wada Kiya Tha...

Rait Pe Naam...


Rait Pe Naam Kabhi Likhte Nahi,
Rait Par Naam Kabhi Tikte Nahi,
Hum To Pathar Dil Hain,
Aur Pathar Par Likhe Naam Kabhi Mit Te Nahi...

Muje likh ker...


Muje likh ker kahin mehfooz ker lo ...
Tumhari yaadasht se nikle ja rahe hain hum

Kesi ke Chehre Ne


Kesi ke Chehre Ne Khushbu Ko Ker Dia Pagal,
Phir Us Ke Baad Sama Ka Sama Hova Pagal...!!!
Jo Un sey Meine Kaha Zindagi Bana Lo Mujhy,
Tu Us ney Dheerey Sey Ek Lafz Keh Dia PAGAL...!!!

Mai kisi aisi jagha ki...


Mai kisi aisi jagha ki justaju may hun muhsan...
Jahan gehri tanhayi tou ho pr ehsasay tanhayi na ho...

Dar'guzer uski har...


Dar'guzer uski har WAFA kar di,
Us'ke haq me aaj phir dua kar di,
Ek lamhe mein kho dia usko,
Jis ko pane me inteha kar di,..

Khud hi nigah jhuk


Khud hi nigah jhuk gai Samne jab wo aa gaeye,
Yun bhi ada kabhi kabhi rasm-e-Salaam ho gai...

Nahi Aatay kabhi


Nahi Aatay kabhi bhi lot kar guzray huay mousam...
Barastay baadlon ki aas main tarsa nahi kartay...

Qurb ke na wafa....


Qurb ke na wafa ke hote hain,
Sare jhagre ana ke hote hain,
Baat niyat ki sirf hai warna,
Waqt sare dua ke hote hain,...

Be-khaloos logon sy..


Be-khaloos logon sy..Ijtenab karna hai..
Mujh ko apnay rishton ka..Ehtasab karna hai..
Tum ko bhool jana hai.....Tum ko yaad rakhna hai..
Dukh tu aik jaisa hai..Intakhab karna hai

Mohabbat ki haqiqat...


Mohabbat ki haqiqat se hum khoob waqif they faraz
Bas yunhi zara shoq hua tha zindagi barbad karne ka.

Ek Ada uski...

Ek Ada uski humein her ADA se pyari hai,
Banti hai anjaan,Jaanker k wo jaan hamari hai...

Bichda Hai Jo Ek Baar....


Kisi ne hame


Kisi ne hame aashiq kaha,
Kisi ne hame deewana kaha...
In aankhon me aansu tab aaye,
Jab apno ne hame begana kaha...

Woh Keh Gaye...


Woh Keh Gaye Ki Mera Intezaar Mat Karna,
Main Kahu Bhi To Muj Pe Aitbaar Mat Karna,
Wo Kehte hai Ke Mujhe Tumse Mohabaat Nahi,
Par Tum Kisi Aur Se Pyaar Mat Karna…

Mohabbat azmani ho to....


Mohabbat azmani ho to bus itna he kafi ha..,
zara sa rooth ker dakho mananay kon ata hay...

Koi to baat...


Koi to baat ho jo usko numayan kr de ..
Main kisi aam si larki ka nahi ho sakta ..

BOHOT KUCH TUJH SAY...


BOHOT KUCH TUJH SAY BARH KER BHI MUYASSAR THA, MUYASSAR HAY,,,
NA JANAY PHIR BHI KYUN TERI ZARURAT KAM NAHI HOTI..

Nazar jab tm se


Nazar jab tm se milti he,
Me khud ko bhool jata hon!
Bas ek dharrkan dharrakti he,
Me khud ko bhool jata hon!
Tumhen milney se pehley,
Me boht sajta sanwrta hon!
Magar jab tm sanwartey ho,
Me khud ko bhool jata hon!
Me aksar kitabon pe.
Tera hi naam likhta hon!
Magr kuch tm jo likhtey ho,
Me khud ko bhool jata hon!
Me aksar ye hi kehta hon k,
tm se pyar karta hon!
Magar jab tm ye kehtey ho,
Me dunya bhol jata hun!

Yun dil ko jalana tera


Yun dil ko jalana tera eman ho Shayad.,
Tery seny me B koi tofan ho Shayad.,
Mat mujhe Azma itna ke dam nikal jaye.,
Mery wajud me teri B jaan ho shayed.,

Meri tanhai ka rona


Kisi apnay ko khona wo kia janay,
Bina neend k sona wo kia janay,
Us shaks ne to mujh ko mehfilon mein muskratay dekha hai,
Meri tanhai ka rona wo kia ja.

Abhi na jao chor kar...


Abhi na jao chor kar..
Kay dil abhi bhara nhi..
Abhi abhi to ayi ho..
Bahar ban k chayi ho..
Hawa zara mehak to lay..
Nazar zara behak to lay..
Ye shaam dhal to lay zara..
Ye dil sambhal to lay zara..
Mein thori dair g to lon..
Nashay k ghoont pi to lon..
Abhi to kuch kaha nhi..
Abhi to kuch suna nhi..
Abhi na jao chor kar..

Kisi ki Rah main...


Kisi ki Rah main Ankhain Bicha keh Kuch nahi Milta..
Ye Dunya Bewafa Hai Dil Laga keh Kuch Nahi Milta..
Koi Bhi Loat kar Ata nahi Anso Bahany say..
Kisi ki Yad main Dil ko Rula kah Kuch nahi Milta..
Kisi kay Dil pay Kya GUzray Kisi ko kia Khabar iski..
Kisi ko Apna Hal-e-Dil Suna keh Kuch nahi Milta..

Shajar Tab hi Lagaana...


Shajar Tab hi Lagaana Jab Zameeno ko Parkh Lena..
Har ik Mati ki Fitrat Main Wafadari Nahi Hoti...

Roothna khafa rehna...


Roothna khafa rehna, ye Wafa nahi hoti.
Chahaton mein logon se kya khata nhi hoti.
Sab ko aik jaisa kiun tum samajhne lagte ho.
Kiun k sari duniya to bewafa nhi hoti.
Har kisi se yari har kisi se waadey.
Piyar karne walon mein ye ada nhi hoti.
Be-Naqaab Chehre bhi ek Hijaab rakhte hen.
Sirf saat Pardon mein to haya nhi hoti...

Galy sy laga kar...


Galy sy laga kar mujhko Nidhal rakhta tha..
Ajeb Shakhs tha kesa Kamal Rakhta tha..
Kaha Jab maine usy Meri Zindagi tum ho..
Phir us ky Bad Wo sirf Apna Khayal Rakhta tha..

Agar Voh Poch Lain...


Agar Voh Poch Lain Hamsy Tmhain Kis baat Ka gham hy..?
Tou Phir Kis baat Ka Gham hy Agar Vo Poch Lain Hamsy...

Meri Zindagi ky Raz...


Meri Zindagi ky Raz main ak raz tum bhi ho..
Meri Bandagi ki Pyas main ak Pyas Tum bhi ho..
Tum kya ho Kuch ho ya nahi..
Meri Zindagi ky Kash main ak Kash tum bhi ho...

Mery Halaat ny...


Mery Halaat ny kar dia tha khamosh mujhy..
Zara Ham CHup kia huay dosto ny Yad karna hi chor dia..

Meri Zindagi Mein....


Dil Mera Ek.....


Kabhi Kaha Na Kisi Se....


Kabhi Kaha Na Kisi Se Tere Fasaane Ko
Na Jaane Kaise Khabar Ho Gayee Zamaane Ko

Sunaa Hai Gair Ki Mehfil Mein Tum Na Jaaoge
kaho Toh Aaj Saja Luu Garib Khaane Ko

Duaa Bahaar Ki Maangi Toh Itane Phul Khile
Kahi Jagaah Na Mili Mere Aashiyaane Ko

Chaman Mein Jaana Toh Sayyad Dekh Kar Jaana
Akele Chhod Kar Aayaa Huu Aashiyaane Ko

Meri Lahad Pe Patango Ka Khoon Hota Hai
Huzur Shama Na Laaya Kare Jalaane Ko

Dabaa ke Qabr mein Sab Chal Diye Duaa Na Salaam
Zaraa Si Der Mein Kya Ho gaya Zamaane Ko

Ab Aage Is Mein Tumhaare Bhi Naam Aayega
Jo Hukm Ho To Yahii Chhord Duu Fasaane Ko

Qamar Zaraa Bhi Nahi Tumko Khauf-e-Rusvaai
Ke Chandani Pe Chale Ho Unhe Manane Ko

Mujhay Tum Yaad Aatay Hooo....


Mujhy Tang Karoo Mujhe Dukh Do Mujhe Rulao..!

Magar Jab Main Marr Jaon Tou Sirf Meri Qabar Per Ik Phool Rakh Dena

Aur Kehnaa

Mujhay Tum Yaad Aatay Hooo

Hoon To Khafa....


Hoon To Khafa Us SE,
Per Janay Phir B Kiyn?
Na Chaah Kar Bhi Us Ko Chahna Acha Lagta Hai…
Haqeeqat Se Hoon Dhoor,
Ye Mujh Ko Hai Pata…
Per Jaan K Anjaan Rehna Acha Lagta Hai…
Qaayel Nahi Main Ronay Ki Phir B Kabhi Kabhi…
Tanhai Main Kuch Dair Rona Acha Lagta Hai…
Tu MERA Tha,
Tu MERA Hai,
Tu MERA Rahay Ga…
Kuch Pal Is Khawab Mein Khona Acha Lagta hai...

Aaj kisi ki duaa ....


Aaj kisi ki duaa ki kami hai,
tabhi to hamari ankhon me nami hai,

koi to hai jo bhool raha hai hame,
par hamare dil me unki jagah aaj bhi wahi hai...

Meri Zindagi Sanwaar De...


Mere Wajood Mein Wafa Ki Roshni Utaar De,

Phir Itna Pyaar De K Mujhe Chahaton Mein Maar De,

Buhat Udas Tha So Uth K Tere Paas Agaya,

Kuch Aisi Baat Kar Jo Dil Ko Qarar De,

Suna Hai Teri Ek Nazar Sanwarti Hai Zindagi,

Jo Ho Sakay Toh Aaj Meri Zindagi Sanwaar De.!!!!

tujhe aaine mein....


Abhi is taraf na nigah kar, main gazal ki palkein sawar loon...
Mera lafz lafz ho aaina, tujhe aaine mein utar loon...!!

Jo Mohabbat Nahi Karte....


Zoq-E-Deed Mein Hoti Hai Takleef Sara'sar....!!

Achy Rehte Hain Woh Log Jo Mohabbat Nahi Karte....!

Khuwabon Ki Dehleez Pe Sona...


Khuwabon Ki Dehleez Pe Sona 'Acha Lagta Hai'
Kuch Lamhon Ko Uska Hona 'Acha Lagta Hai'

Khail Khail Mai Jewan Bhr K Dukh Mit Jate Hain
Kho Kr Pana, Paa Kar Khona 'Acha Lagta Hai'

Dil Walon Ko Dekh K Woh Aise Khush Hota Haii
Jaise Bachey Ko Khilona 'Acha Lagta Hai'

Kabhi Kabhi Dil Bhar Ata Hai Hunstey Hunstey
Kabhi Kabhi Dil Khol Kar Rona 'Acha Lagta Hai'

Tujhe apne dil se main


Tujhe apne dil se main kaise bhula doon,
Teri yaad hi to meri zindagi hay..!

Tujhe kiya khabar hay k tuj se bichar kar,
Tarap kar har ek pal guzara hay main ne..
Judai k gham se pareshan ho kar,
Kahi bar tuj ko poukara hay main ne..!

Sada de raha hay tujhe piyar mera,
Meri zindagi tue kahan kho gai hay..
Tujhe bhul jana naheen mere bas main,
Mujhye dard de kar chale jane wale..
Tere gham se daman main kaise chura loun,
Har ek baat par muj ko yaad ane wale..!

In aankhon main har dam jale ga tera gham,
Kabhi na bujhe jo yeh woh roshni hay..!!!

Itna Pyar Na Do


Itna Pyar Na Do Ke Aanso Nikal Jaye ,

Chahat Ki Garmi Se Dil Na Pighal Jaye ,

Taqdir Se Mila Hai Itna Pyar Tum Se ,

Dar Hai phir Meri Kismat Na Badal Jaye . .

Mana Abhi Nai


Mana Abhi Nai Howe Hum Tere Pyar K Qabil..!

Jaana..!

Apna Na Sahi Anjan Samjh Kar Haal POch Lia Kar..!

Barish , Badal


Barish , Badal
Tum Or Main
Khushb0 , M0sam
Tum 0r Main

Kaley Badal, Rimjhim Barish
Neela Anchal
Tum 0r Main

Behti Nadiyan, Girta Pani
Ankhey, Aansu
Tum 0r Main

Pas Kisi Drya K K0i
Bheega Jh0npar
Tum 0r Main

D0r Kahin K0yal Ki K0u K0u
Gehra Jngal
Tum 0r Main

Barkha Rimjhim Geet Sunaye
Jhurmat Daley
Tum 0r Main

D0r Kahin Pr Ch0ta Sa Ek
Kach'cha Sa Ghar
Tum 0r Main

Kandha Tera 0r Sr Mera
Pagl Si Chup
Tum 0r Main

Tumhain Ik Bat Kehni Hai...


'Tumhain Ik Bat Kehni Hai,

'Magar Naraz Mat Hona,

'K Tum Jo Har Ghari Mujhko,

'Itna Yaad Atay Ho,

'Hamain Itna Satate Ho,

'K Hum Tum Dur Hain Dono,

'Bohat Majbur Hain Dono,

'Na Itna Yaad Ao Tum,

'Na Youn Itna Satao Tum,

'K Itna Yaad Aa Kar Yun,

'Hamain Pagal Bana K Tum,

'Faqat Itna Bata Do K,

'Hamari JAAN Lo Gay Kya?

'Magar Ye Bhi Haqeeqat Hai,

'Tumhari YAAD Hi To Hai,

'Jo Har Pal Sath Rehti Hai,

'Khushi Main Bhi, Ghamon Main Bhi,

'Udasi K Palon Main Bhi,

'Tumhari YAAD Hi To Hai,

'Jo Har Pal Ye Batati Hai,

'Mujhe Ehsas Dilati Hai,

K

"HUM TUM BIN ADHURE Hain''

Sukhey Nahi Aaj Tak


Sukhey Nahi Aaj Tak Teri Yaadoon K Phool

Jaana..!

Main Ne Hamesha Inko Apne Ansuoo Se Tarr Rakha Hai.

Mila karo hum se...


Mila karo hum se
aksar k jee nhn lagta

Tmhare rabte se zindagi
wajood mein hy...

Ajj Barish Me Tumare Sang...


Ajj Barish Me Tumare Sang Nahana Hy
Sapna Ye Mera Kitna Suhana Hy
Barish K Katre Jo Tere Honton Pe Gire
Un Katron Ko Apne Honton Se Uthana Hy

Tumhare Bin Nahi Rehna....


Tumhare Bin Nahi Rehna Mujhe Tumse Muhabbat Hai,

Hai Tumse Bas Yehi Kehna Mujhe Tumse Muhabbat Hai,

Zuban to Keh Nahi Sakti Tumhe Ehsas to Hoga,

Meri Ankhon Ko Parh Lena Mujhe Tumse Muhabbat Hai,

Tumhare Naam Kar Di Hai Ye Pori Zindagi Apni,

Bhalay hi Dukh Paray Sehna Mujhe Tumse Muhabbat Hai,

Hamain Ehsas Hai Tumko Bhi Humse Pyar Hai Lekin,

Ye Mere Samnay Kehna Mujhe Tumse Muhabbat Hai...!

Kya Likhun Main Aaj....


Kya Likhun Main Aaj Yaad Main Teri ?
Kya Maangu Main Aaj Faryaad Main Meri ?

Chahta Tou Bohat Kuch Hun Khuda Se Mere
Lekin Kashma Kash Main Hai Zindagi Ye Meri

Jab Dekha Pheli Baar Tujhe To Dil Se Ye Faryad Nikli
Paaunga To Sirf Tujhe Warna Aay KHUDA Ye Meri Jaan Hai Teri

Yaaron Ne Kaha Ye Kya Kiya Tune Sath Main Maangi Mout Apni
Maine Kaha Mere Sath To Khuda Hai Woh Zaroor Banegi Meri

Lekin Dheere Dheere Woh Mujhse Door Hone Lagi
Maine Samjha Hogi Uski Bhi Koi Majboori

Idhar Main Be Khabar Uske Intezar Main Baitha
Jab Hua Khabbar To ROne Lagi Yaad Main Meri

Ay Khuda Taras Khaa Hum Dono Ke Haalat Per
Kar Woh Jo Tujhe Ho Manzoor

Bas Yehi Dua Hai Tujhse Meri...!

Dil-E-Nadan....


Dil-E-Nadan Ajab Justju Main Hy

Tum Se Pir Shauq-E-Guftgu Main Hy

Juda Khud Se Karoon To Kesy Karoon

Teri Chahat To Meri Gardish-E-Lahu Main hy

Hum Mar Jayen Gy


Hum Mar Jayen Gy
Ik Din dekh Lena

Roo Do Gy Bohat
Tum Us Din Dekh Lena

Duniya Main Hain
To Parwa Nhi Hamari

Chorr Jayen Gy
Tumhain Ik Din
Dekh Lena

Aansu Chupatey
Phiro Gy Sb Se
Tum

Itna Hum Yaad
Aayen Gy Dekh
Lena

Kuch Yaadain
Meethi Meethi Si
Tum Ko Bohat
Satayen Gi,?

Tum Khud Ko Na
Rok Pao Gy Dekh
Lena,

Mana K Kuch Nahi
Hain Aaj Hum
Tumhare Liye

~ Jaana ~

Kal Tumharey
Liye Ik Yaad Ban
Jayen Gy Dekh
Lena..!

Chalo Ab Sou Hi Jaen Hum


Chalo Ab Sou Hi Jaen Hum,
K Tum Sapnon Main Aao Gi,

Hamen Phir Se Manao Gi
Aur Hum Bhi Maan Jaen Ge,

Magar Ye Bhi Zara Socho,
Agar Main Sou Gaya Aise,

K Phir Jo Uth Na Paun Main,
To Kya Tum Sou Bhi Pao Gi .. ?

Aray Pagal Zara Socho...

Meri Baaten Meri Yaaden,
Tumhen Sone Nahi Dengi,

Kisi Ka Bhi Zamane Main,
Kabhi Hone Nahi Dengi,

Suno Main Sonay Jata Hun,
k Tum Sapnon Main Aa Jana,

Chalo Ab Sou Hi Jaen Hum,
k Tum Sapnon Main Aao Gay...!

Raat bhar jo sou


Raat bhar jo sou na sakien teri yaad me

Wohi udaas aankhien sbha ka salam kehti hain

Main to Lafz Lafz....


Main to Lafz Lafz Tari zaat Hon,

Mjhe Harf Harf Tu Mita to Na,

Mana Tera Sath Hamen chahiye,

Magar is Qadar Tu Staa To Na,

Main Bikher Gaya mjhe smait Tu..!

Mari Dhool Yøun Uraa To Na,

Teri Sans Bun k Rahon Ga Main,

K wo wada youn Bhula To Na,

Tujhe Chahna Hai Dosh kia?

Jo Nahi To Itna Rula To Na..!

Qasam in mast nigahoo....


Qasam in mast nigahoo ki main wo labrez sagar hun
Jo masti main chalak jaun to sara mehkhana lay dobun...

Roth Jati Ho To...


Roth Jati Ho To Kuch Aur Haseen Lagti Ho

Ye Soch Ker Hum ne Tumhe Khafa Rakha Hai .. !!

Tu Jab Bhi Koi DUA Kary.....


Tu Jab Bhi Koi DUA Kary
Mera Rab Tujhy Woh Ata Kary
Teri JhoLi Khushyon Se Bhari Rahy
Bin Mange Sub Woh Ata Kary
Tu Haat Uthaye Baad Main
Mera Rab Wo PehLy Ata Kary

Tu Ab Se Pehle Sitaron Mein...


Har DilL me


Har DilL me Dard chupa hota hai
BAYAN krne ka ANDAZ juda hota hai
Kch log ANKHON se Dard baha detey hai
Aur kisi ki HANSI mai b dard chupa hota hai...!!

Ye bhi ek tamasha hai....


Ye bhi ek tamasha hai bazar e ulfat mein,

'GHALIB'

Dil kisi ka hota hy or bus kisi ka chalta hy...

Mere kandhe par sir rakh kar....


Mere kandhe par sir rakh kar usne pocha k kab tak apne kande pa sone doge,

Maine hanste hwe kaha jab tak log mjhe  kandha nhn de datey...

Tanhaai Mein Jo....


Tanhaai Mein Jo Choomta Hai Mere Naam Ke Haroof…!!

” F A R A Z “

Mehfil Mein Woh Shakhs Meri Taraf Dekhta Bai Nai..!!

Mohabbat khwab hoti hy


Mohabbat khwab hoti hy,
Mohabbat bat hoti hy,
Jo koi poch bathe to,
Mohabbat raaz hoti hy,
Machalti umangon ka,
Suhana sath hoti hy,
Jo koi dhndna chahe to,
Mohabbat nayab hoti hy,
Mohabbat phool hy shayad,
Ghamoon ki dhool hy shayad,
Chamakti raat hy shayad,
Kisi ki yad hy shayd,
Mohabbat pur sukoon b hy,
Magar be taab bhi hy,
Mohabbat to mohabbat hy ye la jawab hy,
Na mile to jaan ka azab hy.

Poocha Jo Unse...


Poocha Jo Unse Chaand Nikalta Hai Kis Terhan

Janaaa

Zulfon Ko Rukh Pe Daal Kar Jhatka Dya Kay Yun

Husan-E-Shama Likhon...


Husan-E-Shama Likhon Ya Sharab Likhon..?
Humdam Likhon Sathi Likhon Ya Khuwab Likhon..?


Tere Sarapa-E-Husan Se Heeraan Hon Main
Mehjabeen Likhon Sehar Likhon Ya Aaftab Likhon?


Teri Zulf Jo Chupati Hai Chehra Tera
Raqeeb Likhon, Naagin Likhon Ya Naqaab Likhon?


Nazar Utha K Jo Chal Diye Tum
Be-Ruki Likhon Bewaafai Likhon Ya Hijaab Likhon?


Khatam Ho Jata Hai Zakhiira-E-Alfaaz
Dil To Kehta Hai Teri Taareef Be-Hisaab Likhon.........!

Udas Mat Hua Karo....


Udas Mat Huwa Karo..

Udas Mat Kiya Karo..

Ye Ashk Teri Ankh K,

Udas Sham Ki Tarha,

Brha Rahe Hain Dukh Mere,

Adhure Jaam Ki Tarha,

Jo Ranj-O-Gham K Saye Hain,

Ye Hum Ne Khud Banaye Hain,

Ye Khwab To Azab Hain,

Jo Ankh Main Sajaye Hain,

Ye Dard Dhul Hi Jayenge,

Ye Waqt Beet Jayega,

Jo Hum Nahi To Na Sahi,

Koi To Jeet Jayega

Jo Taiz Kar De Dhrkanen

Wo Naam Mat Liya Karo

Jo Ho Skay To Hum-Nasheen

Hansi Khushi JIYA Karo

Udas Mat Huwa Karo

Ajab Din Thy Muhabbat Ki....


Yaad


Wo Ajeeb Sa Koi Aadmi...


Mujhe Ab Bhi Muhabbat Hai


Kabhi Jo Mujhko Talash Karna....


Suno Ae Ladki


Mera Dil Kehta Hai...


Anmol Khazana....


Sirf is wajha sy


Sirf is wajha sy,Tum sy muhabat karty hain ham..
Hamaray tou koi nahi,Tmhara tou koi ho.

Bichar janey ki jaldi hay....


Yahi hay naa,Tumhen ham se bichar janey ki jaldi hay....
Kabhi milna,Tumhare masaale ka hall nikalen gay...
Abhi to paon k neechay zameen mehsoos hoti hay...
Jahan ye khatm hovey gi waheen per ghar bana len gay.

Dhoop Mai Barish


Maine Us'sey Pucha Tha
Kya Dhoop Mai Barish Hoti Haii

Woh Hunstey Hunstey Rone Lagi
Aur Dhoop Mai Barish Honey Lagi

Mere Baghair Nahi Hogi...


Mere Baghair Nahi Hogi Teri Shanakht Kabhi Puri

Janaaa

Teri Zindagi K Saath Mere Hawaley Bht Hain...

Woh Tujh Ko Bhoole Hai


Woh Tujh Ko Bhoole Hai Tou Tujh Py Bhi Lazim Hai . . ?
Khaak daal Aag Laga Naam Nah Le Yaad nah Kar

Wo B Kya Shakhs Hai


Wo B Kya Shakhs Hai Khulta Hi Nhn Bhaid Us Ka,

MOhsiN

Jb B Dekhon Usay Dunya Sy Khafa Hi Dekhon.

Kis Qadar Tanha


Mujhe Ab Pata Chala k Mein Kis Qadar Tanha Ho0N......

Peechay Jo Mur K Dekhun T0u Saaya B muh Phair Leta Hai...

Unn Masoom Aankhon Mein


Khudaya Unn Ke Hissay Ka Bhi Gham Mujko Ata Kar De...,

Ke Unn Masoom Aankhon Mein Nami Acchi Nahi Lagti...!!!

Na Udas Hoon Na...


Na Udas Hoon Na Qarar Hai, Meri Kaifiat Ik Charagh Si
Woh Chale Gaye To Mein Bujh Gaya, Woh Jo Aa Gaye To Mein Jal UthA...

ShiKayat Thi Tum Se


ShiKayaT tHi tUm sE GiLa nA kAr sakE !
''FaRaz''
IjaZaT nAhi ZaBan ko tErE kHilaF BoLnE ki

Kabhi poch kar dekho


Kabhi poch kar dekho mujh se apni yaado ka aalam Faraz..
Sari sari raat sitaro se tera zikr kiya karte hain

Ye teri jheel si


Ye teri jheel si ankhon me rattjagon k bhanwr
Ye tere phool se chehre pe chandni ki phuwaar
Ye tere lub, ye dayar-e-yaman k surkh aqeeq
Ye aainay si jabeen, sajde gaah-e-lail-o-nihaar


Ye be niaz ghannay janglon se baal tere
Ye phoolti hui sarson ka aks galon pr
Ye dharkano ki zubaan bolte hue abru
Kamand dal rhe hen mere khayalon pr


Ye narm narm se hathon ka garm garm sa lams
Gudaaz jism pe billor ki tehon ka samaan
Ye ungliyan ye zamurd tarashi shakhen
Kiran kiran tere danton pe motion ka gumaan


Ye chandni me dhulay pao jb b rqas kren
Fizaa m un ginay ghungru chanakne lagtay hen
Ye pao jb ksi rastay me rang brsaaen
To mosmon k muqaddar chamaknay lagtay hen


Teri jabeen pe agr haadson k naqsh ubhren
Mizaaj-e-gardish-e-doraan b larrkhra jye
Tu muskraye to subhen tje salam kren
Tu ro pde to zamanay ki aankh bhr aye


Tera khayal hy khushbu, tera libaas kiran
Tu khak zaad hy ya aasmaan se utri hy
Mai tjko dekh k khud se sawal krta hy
Ye moj-e-rang zameen pr kahan se utri hy


Mai kis trah tje lafzon ka pairahan bakhshu
Mere hunar ki bulandi to sr nigoon nhy abi
Tere badan k khadd-o-khaal mere bs me ny
Mai kis trah tje sochoon yehi junu hy abi


Milay hen yu to kai rang k haseen chehray
Mai be niaz rha moja-e-saba ki trah
Teri qasam teri qurbat k mosmon k bagher
Zameen pe mai b akela phira khuda ki trah


Mgr mai shehr-ehawadis k sang zaadon se
Ye aainay sa badan kis trah bachaon ga
Mje dr hy ksi roz tere qarb samait
Mai khud b dukh k samundr me doob jau ga


Mje ye dr hy k tere tabassmon ki phuwaar
Yunhi wafa ka taqaza, haya ka tor na ho
Tera badan, teri dunya hy muntazir jiski
Mai sochta hu meri jaan wo koi or na ho


Mai sochta hu mgr sochnay se kia hasil
Ye teri jheel si ankhoin me rattjagon k bhanwr

Ye na ho ga mujh sy


mai laakh toot jaon khud sy hi rooth jaon,,,
per ye na ho ga mujh sy k mai us ko bhool jaon...

diyar-e-noor me


diyar-e-noor me meri shabo ka sathi ho
koi to ho jo meri wehshaton ka sathi ho

me usse jhoot b bolu to wo mujh se sach boley
mere mizaj k sabhi mosmo ka sathi ho

me is k hath na aun or wo mera hokr rahe
me gir parun to meri pastiyon ka sathi ho

wo mere nam ki nisbat se moutabar ho
gali gali meri ruswayon ka sathi ho

kare kalam mujh se wo mere lehje me
me chup rahun to mere tewaron ka sathi ho

wo khwab dekhe to dekhe mere hawale se
mere khyal k sabi manzaron ka sathi ho

Taskeen-e-muhabat kAy


Taskeen-e-muhabat kAy faqat dO hE tareiqay thAy..

Yeh diL nA baNa hoTa, yA tUm nA baNay hoTay..!

Jal Jao Kari Dhoop Main


Maine Apni Zindagi Se Yehi Seekha ..!

Yaaron..!

Jal Jao Kari Dhoop Main...!

Khamoshi Se Lekin..!

Apno Se Kabhi Saya-E-Deewar Na Maangoo..!

Rooh Estrah Muztarib


Rooh Estrah Muztarib Hey Meri,

Jaisy,

Na Jism Se Nikalti Ho,

Na Theherti Ho Jism Main...!

Sham hone lagi


Sham hone lagi yaad aya koi,
Aankh rone lagi yaad aya koi,

Hum akele rahe, sham dhal bhi gai,
Raat hone lagi yaad aya koi,

Uski yad men hum kitne madhosh thy,
Nend jane lagi yaad aya koi,

Raat taroon bhari naya silsila lai,
Raat hum ko satane lagi yaad aya koi.....

Teray Sabhi Ghumon Ko


Teray Sabhi Ghumon Ko Sameit Lon, Main Tujhay Itna Pyaar Don
Teri Udasiyon Ko Mita Kay, Teri Har Shaam Nikhaar Doon


Teri Aankhon Main Chupi Kheezan Mujh Pay Asar Kar Gaii
Teray Wajood Ko Mehka Day Jo, Teray Labon Ko Wo Bahaar Don


Teri Ak Muskurahat Ka Bdal Kuch Ho Nahi Sakta Mager
Jo Milay Tujhay Khushi Ager Main Apni Jaan Bhi Waar Don


Aa Giya Hay Jo Hijar Ka Daur Teray Meray Darmiyaan
Jo Milain Mujhay Fursatein Yeh Waqt Ka Qarz Utaar Don


Teray Dil Ki Raunaqain Murjha Gaii Hain Jo Is Terha
Laga Kay Apnay Seenay Say Teri Dharkano Ko Qaraar Don


Meri Nighaa Bhi Hay Teri Ak Nazar Ki Muntazir
Jo Karay Tu Idher Nazer, Tujhey Dua'een Be-Shumaar Don


Na Dhan Say Na Daulat Say, Na Duniya Say Koii Waasta
Milay Jo Bas Tu Ager, Teray Sung Zindagi Guzaar Don

Ye Aankh Bhi.....


ye aankh be, ye khuab be, ye raat be uski
har baat pe yaad aati hai har baat be uski

jugno se chamaktay hain usi yaad ke dam se
aankho'n me'n li'ey phrtay hain soghaat be uski

har shulay ke peechay hai usi aag ki sorat
har baat ke parday me'n hakayaat be uski

lafzo'n me'n sajatay hain usi husn ki khusbo
aankho'n me'n chupatay hain shakayaat be uski

kya kiji'ey achi hame'n lagti hai hamesha
dewaangi e dil me'n har baat be uski

jis shakhs ne manzar ko na'ey phool di'ey thay
hain dour e khiza'n par anayaat be uski

aata hai nazar majma e ahbaab me'n
lakho'n me'n akali hai mgr zaat be uski

Makhsoos Diloon Ko....


MakhSooS DiLoOn Ko IshQ K Ilha'am HOoTay Hain,
MoHabbat Ma'uJaza Hai, Ma'uJazay Kab Aam HOoTay Hain.....!!!

Ajab Pagal Si Ladki Hai...


Meri Jaan aa Meray....


Meri jan aa meray aangan mein zara sham k bad
Mil k mangen ge muhabbat ki dua sham k bad
Jinki taqdeer mein khuwab nhi neend nhi
Aurh letay hain sitaron ki rida sham k bad
Aao mil baith k kuch waqt guzaren jaana
Mein sunaon tujhy, tu apni suna sham k bad
Tum mujhy chor gaye sham se pehle pehle
Yeh na poocho mera kia haal hua sham k bad..!!

Mere Jeevan Ke...


Mere Jeevan K Sab Hi Pur No0r Ujaalo0n Ki Qasam,

Meri Subah Teri Chahat K Chiragho0n Se Jala Karti Hai...

Sawal Ye Tha...


Sawaal Yeh Thaa Key Husn_e_Yaar Kaisaa Hai.....
Jawaab Yeh Hai Key Us Kaa Koi Jawaab Nahi,!!!!!

Meri Zindagi Tou...


Meri zindagi to firaq hai,
Wo azal sy dil may makeen sahi,
Wo nigah.e.shok sy dor hai,
Rag.e.jan sy lakh kareen sahi,
Humen jan deni hai ek din,
Wo kisi tarhan wo kahin sahi,
Humen ap khinchiye dar par,
Jo nahin koi to hum e sahi,
Sar.e.tur ho sar.e.hashr ho,
Humen intazar kabol hai,
Wo kahin milay wo kbi milay,
Wo kahin sahi wo kbi sahi,
Na ho un py kuch mera bas nahin,
K ye ashiqi hai hawas nahin,
Main unhi ka tha main unhi ka hu,
Wo mere nahin to nahin sahi,
Mujhe bethnay ki jaga milay,
Meri arzu ka bharam rahay,
Teri anjuman may agar nahin,
Teri anjuman k kareen sahi,
Tera dar to humko na mil saka,
Teri rah guzar ki zameen sahi,
Humen sajda krny sy kam hai,
Jo wahan nahin to yahin sahi,
Meri zindagi ka naseeb hai,
Nahin door mujh sy kareeb hai,
Mujhe uska gham to naseeb hai,
Wo agar nahin to nahin sahi,
Jo ho faisla wo sunaiye,
Usay hashr par na uthaiye,
Jo karen gy ap sitam wahan,
Wo abi sahi wo yahin sahi,
Unhen dekhnay ki jo lo lagi,
To naseer dekh hi len gy hum,
Wo hazar aankh sy dor hon,
Wo hazar parda nashin sahi..!!!

Mujhay Khamosh Raahon Mein...


Mujhe Khamosh Raahon Main Tera Saath Chahiye

Tanha Hy Mera Haath Tera Haath Chahiye

Mujh Ko Mere Muqadar Per Itna Yaqeen To Hy

Tujhko Bhi Mere Lafz Meri Baat Chahiye

Main Khud Apni Shairy Ko Kiya Acha Kahun

Mujh Ko Teri Ta'reef, Teri Daad Chahiye

Ehsas-E-Muhabat Tere Hi Wastey Hai

Lekin

Junoon-E-Ishq Ko Teri Har Soughat Chahiye

Tu Mujh Ko Paany Ki Khwahish Rakhta Hai Shayad..!

Lekin

Mujhy Jeeny K Liye Teri Hi ZAAT Chahiye..!

Teri Muhabbat K Piyasay Thy...

Teri Mohabbat K Piyasay Thy Tou Hath Phela Dya ..!

Warna..!

Hum Tou Apni Zindagi K Liye Bhi Dua Nahi Karte..!

Ye Jo Zeest Ka Safar Hai


Ye Jo Zeest Ka Safar Hai
Ye Jo Rasta Hai Mera

Tum Agar Na Sath Do gye
To Yeh Kis TArhan Kate Ga

Meri Soch Ki Hadoon Tak
Ye Guman Bhi Kaise Aye

Koi Pal Bina Tumhare
Bhala Kaise Beet Jaye

Mere Paas Tum Nahin Ho
Mere Paas Kab Nahin HO

Meri Yaad Ke Nagar Mein
Mere khawab Ke Safar mein

Meri Soch Ki Tehon Tak
Meri Aankh Kay Bhanwar May

Mere Dil-O-Jaan Mein Tan May
Meri Hasraton Kay Ban May

Mere Dil Ki Tergi may
Meri Shab Ki Roshni May

Haan Tumhin Ho Har Kahin H
Mere Paas Tum Nahin Ho

Mere Paas Kab Nahin Ho
Meri Har DUA Ka Mehwar

Bas Aik Aarzoo Tumhari
is Aarzoo Ke agye

Koi Rasta Nahin Hai

Tumhen Kis Qadar Hai Chaha

Yeh Tumhen Pata nahin hai

Ansu Ki Tarha.....


Ansu ki tarha, aankhu se na beh jao tum!
Dua hai ki kabi meri zindagi se na jao tum!
Mout ka dhar nahi ye tu ek din aani hai!
Bas dhar hai muj se bichar na jao tum?

Wo Kehti Hai Suno Jana....

Gaye Dino Ka...


Ae Chand...


Aye Chaand Tu Chamakna Chore B Day
Teri Chandni Mujhe Satati Haii

Tere Jaisa Hai Meri Janaa Ka Chehra
Tujhe Dekh K Uski Bht Yaad Ati Haii.

Har Subah Nikal Parti.....


Har Subah Nikal Parti Hai Jo Khud Ki Talash Main..
Woh Khoi Hui Si Ek Pehchan Hoon Main..

Na Aankhon Mein Khuwab Hai Na Dil Mein Tamanna Koi..
Apni Banai Hui Rahon Se Hi Anjaan Hoon Main..

Kabhi Zara Si Baat Par Ansu Baha Deta Tha Jo..
Aaj Rah Mein Pari Lash Ki Tarah Bejaan Hoon Main..

Aankho Mein Khuwab Sajany Ki Bhi Saza Hui Hai Mujh Ko..
Khilny Se Pehly Hi Jo Toot Jaye Aisa Ek Arman Hoon Main..

Jany Kitny Hi Khuwab Dafana Chuka Hoon Is Dil Mein..
Ab To Lagta Hai Jaisy Khud Hi Ek Qabrastan Hoon Mein..

Wo Shakhs Mujhay...


Itna tasalsul tou meri sanso mein bi nahi...
Jitna rawani se wo shakhs mujhay yaad aata hay.....!!!!

apny Siwa...


Apnay siwa kuch miLa bhe hai tumhen...?
Sou baar Le chukay ho' merey diL ki Talashian..!

Zara Batao Na...


zara batao na kiya bat hey
dil q itna aaj udas hey
chup bethy ho bari dair sey
koi to waja e khas hey
jo chor gya usey bhool jao
ab fikar karo jo pas hey
kesy guzrten hen shabo roz ab
tjhy zara sa bhi ehsas hey
wo jo ro para teri ik aah par
too kitna us k lye khas hey
jo chala gya hey door bohat
q dil k wo ab b pas hey
koi he jo usey bata dey jakar
wo kisi ki zindagi ki aas hey
ja mana ley shakir mehboob ko
toot na jaey ye jo ik sans hey

Mein Bojh Ban Jao Ga....


Main Bojh Ban jaonga aik din Apne Hi DoStOn Pe JAB.
Kandhay Badal Rahay Honge Wo Har Do Qadam K Baad

Meri Zindagi Tou


Meri zindagi to firaq hai,
Wo azal sy dil may makeen sahi,
Wo nigah.e.shok sy dor hai,
Rag.e.jan sy lakh kareen sahi,
Humen jan deni hai ek din,
Wo kisi tarhan wo kahin sahi,
Humen ap khinchiye dar par,
Jo nahin koi to hum e sahi,
Sar.e.tur ho sar.e.hashr ho,
Humen intazar kabol hai,
Wo kahin milay wo kbi milay,
Wo kahin sahi wo kbi sahi,
Na ho un py kuch mera bas nahin,
K ye ashiqi hai hawas nahin,
Main unhi ka tha main unhi ka hu,
Wo mere nahin to nahin sahi,
Mujhe bethnay ki jaga milay,
Meri arzu ka bharam rahay,
Teri anjuman may agar nahin,
Teri anjuman k kareen sahi,
Tera dar to humko na mil saka,
Teri rah guzar ki zameen sahi,
Humen sajda krny sy kam hai,
Jo wahan nahin to yahin sahi,
Meri zindagi ka naseeb hai,
Nahin door mujh sy kareeb hai,
Mujhe uska gham to naseeb hai,
Wo agar nahin to nahin sahi,
Jo ho faisla wo sunaiye,
Usay hashr par na uthaiye,
Jo karen gy ap sitam wahan,
Wo abi sahi wo yahin sahi,
Unhen dekhnay ki jo lo lagi,
To naseer dekh hi len gy hum,
Wo hazar aankh sy dor hon,
Wo hazar parda nashin sahi..!!!

Teri Chahton Se...


Is Haqeeqat Ko Na Hone Dena Logon Pe Aayan.!

K Teri Chahaton Se Chalti Hain Sansain Meri.!

Khusbon Ka Koi Jhonka....


Tumharey Ghar K Aangan Mai
Jab Kabhi Mottiya Mehkey
Tou
Khushbuu Ka Koi Jhonka
Hamarey Naam Kar Dena.

Har Shakhs Tha


Har Shaks Apney Chaand Se Tha Mehv-e-Guftugu,

Mai Apna Chaand Dhoondhta Raha Aur Subha Hogai.

Itne Anmol Thy


Itna Anmol Thy K Khareed Na Saka Koi Hum Ko,
Hairaan Hoon K Tere Hathon Bika Tou Bika Kaise..

Welcome Note

The Blog for Poetry Lovers is created and i assure you get the unlimited Poetry there....Keep Visiting and Enjoy....
ExperInn make you earn just by uploading Images, Music, Videos, Replying to Forums etc etc Click here to Register