Ye teri jheel si


Ye teri jheel si ankhon me rattjagon k bhanwr
Ye tere phool se chehre pe chandni ki phuwaar
Ye tere lub, ye dayar-e-yaman k surkh aqeeq
Ye aainay si jabeen, sajde gaah-e-lail-o-nihaar


Ye be niaz ghannay janglon se baal tere
Ye phoolti hui sarson ka aks galon pr
Ye dharkano ki zubaan bolte hue abru
Kamand dal rhe hen mere khayalon pr


Ye narm narm se hathon ka garm garm sa lams
Gudaaz jism pe billor ki tehon ka samaan
Ye ungliyan ye zamurd tarashi shakhen
Kiran kiran tere danton pe motion ka gumaan


Ye chandni me dhulay pao jb b rqas kren
Fizaa m un ginay ghungru chanakne lagtay hen
Ye pao jb ksi rastay me rang brsaaen
To mosmon k muqaddar chamaknay lagtay hen


Teri jabeen pe agr haadson k naqsh ubhren
Mizaaj-e-gardish-e-doraan b larrkhra jye
Tu muskraye to subhen tje salam kren
Tu ro pde to zamanay ki aankh bhr aye


Tera khayal hy khushbu, tera libaas kiran
Tu khak zaad hy ya aasmaan se utri hy
Mai tjko dekh k khud se sawal krta hy
Ye moj-e-rang zameen pr kahan se utri hy


Mai kis trah tje lafzon ka pairahan bakhshu
Mere hunar ki bulandi to sr nigoon nhy abi
Tere badan k khadd-o-khaal mere bs me ny
Mai kis trah tje sochoon yehi junu hy abi


Milay hen yu to kai rang k haseen chehray
Mai be niaz rha moja-e-saba ki trah
Teri qasam teri qurbat k mosmon k bagher
Zameen pe mai b akela phira khuda ki trah


Mgr mai shehr-ehawadis k sang zaadon se
Ye aainay sa badan kis trah bachaon ga
Mje dr hy ksi roz tere qarb samait
Mai khud b dukh k samundr me doob jau ga


Mje ye dr hy k tere tabassmon ki phuwaar
Yunhi wafa ka taqaza, haya ka tor na ho
Tera badan, teri dunya hy muntazir jiski
Mai sochta hu meri jaan wo koi or na ho


Mai sochta hu mgr sochnay se kia hasil
Ye teri jheel si ankhoin me rattjagon k bhanwr

7 comments:

ExperInn make you earn just by uploading Images, Music, Videos, Replying to Forums etc etc Click here to Register