Maine Apni Zindagi Se Yehi Seekha ..!
Maine Apni Zindagi Se Yehi Seekha ..!
Yaaron..!
Jal Jao Kari Dhoop Main...!
Khamoshi Se Lekin..!
Apno Se Kabhi Saya-E-Deewar Na Maangoo..!
Husan-E-Shama Likhon,,
Husan-E-Shama Likhon Ya Sharab Likhon..?
Humdam Likhon Sathi Likhon Ya Khuwab Likhon..?
Tere Sarapa-E-Husan Se Heeraan Hon Main
Mehjabeen Likhon Sehar Likhon Ya Aaftab Likhon?
Teri Zulf Jo Chupati Hai Chehra Tera
Raqeeb Likhon, Naagin Likhon Ya Naqaab Likhon?
Nazar Utha K Jo Chal Diye Tum
Be-Ruki Likhon Bewaafai Likhon Ya Hijaab Likhon?
Khatam Ho Jata Hai Zakhiira-E-Alfaaz
Dil To Kehta Hai Teri Taareef Be-Hisaab Likhon.........!
Humdam Likhon Sathi Likhon Ya Khuwab Likhon..?
Tere Sarapa-E-Husan Se Heeraan Hon Main
Mehjabeen Likhon Sehar Likhon Ya Aaftab Likhon?
Teri Zulf Jo Chupati Hai Chehra Tera
Raqeeb Likhon, Naagin Likhon Ya Naqaab Likhon?
Nazar Utha K Jo Chal Diye Tum
Be-Ruki Likhon Bewaafai Likhon Ya Hijaab Likhon?
Khatam Ho Jata Hai Zakhiira-E-Alfaaz
Dil To Kehta Hai Teri Taareef Be-Hisaab Likhon.........!
Ek tamana thi jo
Ek tamana thi jo ab Hasrat ban gai,
Kabhi Dosti Thi ab Mohabbat bn gai,
Kuch is tarah shamil howe tum zindagi may,
k tujh ko Sochte rehna Meri aadat ban gai..!!
Itna B Nahi
Mana K Bura Hon Magar 'Itna B Nahi'..
Kuch Nazro Sy Gira Hon Magar 'Itna B Nahi'..
Koi Koshish To Kary Mujhy Sametny Ki..
Mai Toot K Bikhra Hon Magar 'Itna B Nahi'..
Kon Kehta Hai Hum Waqif Nahi Adab-E-Muhabbat Sy..
Thora Bewafa Hon Magar 'Itna B Nahi'..
Mujhy fursat he fursat hai
Mujhy fursat he fursat hai
Saweray jald uthna hai
Na shab ko dair sy sona
Kaheen bahir naheen jana
Ksi sy b naheen milna
Na fikr laahaq hai
Na koi yaad ata hai
Magr yeh akhri misra
Zra sa jhoot lgta hai
Hum Mily jb un se
Hum "Mily" jb un se to kuch keh na saky FARAZ"
"Khushi" itni thi k "mulakat ansu poonchty Huy guzr gai.
"Khushi" itni thi k "mulakat ansu poonchty Huy guzr gai.
Zara Tum Sabr To Karlo,
Bana Lein ge Tumhein Apna Zara Tum Sabr To Karlo,
Mujhe Duniya Se Larrna Hai Zara Tum Sabr To Karlo,
Tumhare Bin Kisi Ko Sochna Mumkin Nahi Jana,
Yeh Jeewan Tum Bin Adhoora Hai Zara Tum Sabr To Karlo,
Yeh Duniya Chhorr De Mujhko Mujhe Parwah Nahi Iski,
Faqat TumKo Hi Pana Hai Zara Tum Sabr To Karlo,
Tum Apne Dil Ki Basti Mein Mujhe Aabad Hi Rakhna,
Bohat Bardasht Hai Mujh Mein Zara Tum Sabr To Karlo.
Mujhy Muhabbat si ho gai ha,,
Ajab tanasub se zehn-o-dil main khayal taqseem ho rahy hain....
Mujhy Muhabbat si ho gai ha,,, Usy Mubabbat sikha sikha k...
Ek Chehra Nayab,,,
Ek Chehra Nayab Dikhayi Deta Hai,
Khawbo0n Mei Bhi Khawab Dikhayi Deta Hai,
Kaun Hai Jiss Ki Khatir Ye Pagal Dil,
Har Lamha Betaab Dikhayi Deta Hai,
Tere Hi Jalwon Se Mere Afsane Ka,
Roshani K Baab Dekhayi Deta Hai,
Pehli Chahat Ka Nanha Sa Poda Bhi,
Jiwan Bhar Shadab Dikhayi Deta Hai,
Sapnon Ki Jab Koi Basti Basti Hai,
Be Mousam Selaab Dekhayi Deta Hai,
Ghat’ti Umar Ki Dolat Kiss Ko Dikhti Hai,
Bas Maal-o-Aasbaab Dekhayi Deta Hai,
Dukh Jaye Jab Raghib Wo Roshan Chehra,
Phir Kiss Ki Mehtaab Dekhayi Deta Hai,
Lafz likhta hoon to...
Lafz likhta hoon to ehsas likha jata hai,,,,
Dard likhta hoon to pyar likha jata hai,,,,
Meray zammer se waqif hai youn qalam mera,,,
Pyar likhta hoon to tumhara nam likha jata hai...
May tera kuch bhi
May tera kuch bhi nahi hoon magar itna to bata
dekh kar mujh ko teray zehn may aata kya hay
Youn khaali palkain....
Youn
khaali palkain
jhuka dene say
neend nahi aati
...!!!
Sotay wohi
loag hain
jin kay liye
koi jaag
raha ho.........!
Aaj Phir Unka Intizaar Kartey Kartey
Aaj Phir Unka Intizaar Kartey Kartey Din Guzar Hi Gaya...
Wo Jaan Sey Piyarey Log Apni Marzi Sey Yaad Kartey Hain...!!
Younhi loog isay
Younhi loog isay MOHABBAT samaj baithay...........
Woh shaks Mujha Jaan se Pyaara hai aur bass.......!!!
Yaad Na Karo Ge,To Bhula Bhi Na Sako Ge
Yaad Na Karo Ge,To Bhula Bhi Na Sako Ge...
Mera Khayal Zehen Se Mita Bhi Na Sako Ge...
Ek Baar Jo Tum Mera Gham Dekh Lo...
To Phir Saari Zindagi Muskura Bhi Na Sako Ge...
Main jo chahun
Main jo chahun to aj naata torh lon tum se
Par main buzdil hn mjy moat se dar lagta hai
tu kya teri bisaat kya
tu kya teri bisaat kya
jo main nahi to tu kya
ye zindagi ne sikha dia muje
jo tu nahi to main kya
Ranjshain to hoti hain
Ranjshain to hoti hain Muhabbaton main magar!
Tum se ye kis ne kaha! mujh ko adhura kar do......
GHAM-E-ZINDAGI SAY HE
GHAM-E-ZINDAGI SAY HE FURSAT NA MILI....
WARNA HUM AGAR KISI K HOTAY TO SIRF TUMHARAY HOTAY..
Woh Zindagi He Kya Jisme Mohabbat Nahi
Woh Zindagi He Kya Jisme Mohabbat Nahi
Woh Mohabbat He Kya Jisme Yaadein Nahi
Woh Yadein He Kya Jisme Tum Nahi
Aur Woh Tum He Kya Jis K Sath Hum Nahi
Hum Se Door Jaoge Kaise,
Hum Se Door Jaoge Kaise,
Dil Se Hum Ko Bhulaoge Kaise,
Hum To Wo Khushbu Hain Jo Apki Sanso Main Baste Hain,
Khud Ki Sanso Ko Rok Paoge Kaise...
Chand Ki Kirno Jao Na..
Chand Ki Kirno Jao Na..
Us Ko Choo Kar Ao Na..
Wo Kab Kab Kia Kia Karte Hai..
Wo Jagte Hai Ya Sote Hai..
Wo Kis se Baatain Karte Hai..
Wo Sham ko Kese Lagte Hai..
Wo Raat Ko Kese Dhikte Hai..
Jab Soye Kese Lagte Hai..
Jab Jagay Kese Lagte Hai..
Tum ChupKay Chupkay Jao Na..
Tum Us Ko Choo Kar Ao Na..
Na khwabon me dekha na nazaron me dekha,
Na khwabon me dekha na nazaron me dekha,
Hazaron me ek humne tum hi ko dekha,
Gum dene wale to har pal hai yahan,
Har pal khushi dene walon me ek aap hi ko dekha.
Rishta banaya he to nibhayenge,
Rishta banaya he to nibhayenge,
har pal apko hasain gay,
Pata he ap ko fursat nai hamain yad karne ki,
ham hi tang kar kar k apni yaad dilaingay.
Basa Hai Ankhoon Main Apka Chehra Is Tarah
Basa Hai Ankhoon Main Apka Chehra Is Tarah
Gulab Main Khushbo Basi Hoti Hai Jis Tarah
Namaz Parh Li Ho Aur Dua Na Mangi Ho
Ap Ki Kami Mehsoos Hoti Hai Kuch Is tarah
Apne dard E DIL ka Hamdard Hame hi Paoge,
Apne dard E DIL ka Hamdard Hame hi Paoge,
In tanhayon me saath hame hi paoge,
Door hain tum say to kya huwa,
In dooriyon me sabse kareeb hame hi paoge.
Khamosh se rehne lage ho,
Khamosh se rehne lage ho,
intezar kisika karne lage ho,
yakinan kisi se hui hai mohabbat,
tabhi bina baat muskurane lage ho...
Meray wajood se lipti khusboo tere naam ki hai
Meray wajood se lipti khusboo tere naam ki hai
meray dil main basi har ik dharkan tere naam ki hai
itna yakeen kar le mere humnasheen
bin tere meri zindagi baynaam si hai..
Sukhe patte se pyaar kar lenge,
Sukhe patte se pyaar kar lenge,
Hum tum pe aitbar kar lenge.
Tum ek baar keh do hame tum se pyaar hai,
Hum zindgi bhar intzar kar lenge.
Bohat “Khush Naseeb”kal ki “RAAT”Guzri,
Bohat “Khush Naseeb”kal ki “RAAT”Guzri,
Kuch”Tanha” par kuch”Khaas” Guzri,
Na”Neend”aaie na “Khuwab”koi,
Bas”Tere” “Khayalon”ke saath Guzri,
Hum To Pehle Se Hi Ap K Hain..
~Hum To Pehle Se Hi Ap K Hain...
~Kiya Zarorat Ha Humein Aazmane Ki. ..
~Yaad Na Kro To Koi Gham Nahi..
~Par Khawahish Na Karna Kabhi Bhool Jane Ki....
Khuda kisi ko kisi
Khuda kisi ko kisi pey fidaa na kare,
Kare to qayamat tak judaa na kare.
Ye maana ki koi marta nahi judaai mein,
Lekin jee bhi to nahi paata tanhaai mein!
Meri Eid ka Ta’alluq
Meri Eid ka Ta’alluq Teri Deed sey raha hai
na hoyee Deed Teri na hoyee hai Eid Meri
Tera Husn Ho, Mere Ishq Ho,,,
Tera Husn Ho, Mere Ishq Ho,
Toh Phir Husn-o-Ishq Ki Baat Ho,
Kabhi Main Milon Kabhi Tu Miley,
Kabhi Hum Milein Mulaqat Ho,
Kabhi Tu Ho Chup, Kabhi Mein Hoon Chup,
Kabhi Dono Hum Chup Chaap Hoon,
Kabhi Gaftugu,Kabhi Tazkare,
Koi Zikar Ho, Koi Baat Ho,
Kabhi Wisal Ho Toh Din Ko Ho,
Kabhi Hijar Ho Toh Woh Raat Ho,
Kabhi Main Tera Kabhi Tu Meri,
Kabhi Ik Dujay K Hum Hoon,
Kabhi Sath Main Kabhi Sath Tu,
Kabhi Ik Dujay Ka Sath Ho,
Kabhi Jeet Ho Kabhi Maat Ho,
Kabhi Phool Ho Kabhi Dhool Ho,
Kabhi Yaad Ho Kabhi Bhool Ho,
Na Nashaib Hon, Na Faraz Hon,
Na Zameen Ki Koi Na Falak Ki Koi,
Na Hi Wajood Ho na Hi Zaat Ho,
Sirf Tera Husan Ho Mera Ishq Ho,
Meri Aankh Ho Teri Zaat Ho…..!!!!'
ITNI JALDI KYA HAI
ITNI JALDI KYA HAI MUJHY CHORNY KI,
ABHI TO HAD BAQI HAI MUJHY TORNY KI,
MAIN KHILONA HUN GUM NA KAR MAIRY TOOTNY KA,
MIL JATY HAI NAE ZARORAT NHI MUJHY JORNY KI,
Mere bass me agar ho to...
Mere bass me agar ho to,
TUMHE baahon me bhar lon,
TUMHE aankho me rakh lon,
Kabhi na roothney don,
Kabhi na tootney don,
TUMHE main qaid ker lon apney dil ki duniya me,
Kisi bhi haal me phir TUMHE azaad na kron,
Sabhi duniya bhoola don,
TUMHE apna bana lon,
Mere bass me agar ho to....
Magar hai be-basi aisi,
Mera dil machalta hai,
TUMHE hi yaad karta hai,
TUMHARA qurb chahta hai,
Magar main kiya karon JANA,
Mera bass nahi chalta...'
Bhule To Kaise Wo Chand Sa Chehra...
Bhule To Kasie Wo Chand Sa Chehra
SharMate Hue Wo Tera Paas Aana,
Wo Nazrein Milana, Milake Jhukana,
Lajate Hue Teri Palkon Ka Pehra,
Bhule To Kaise Wo Chand Sa Chehra,
Wo Saawan Ki Baatein Pahadon Ka Jharna,
Un Geele Se Kapdon Mein Tera Aahein Bharna,
Saagar Si Aankhon Mein Utra Tha Gehra
Bhule To Kaise Wo Chand Sa Chehra,
Wo Chhoti Si Baat Pe Tera Rooth Jana,
Bichhadte Hue Tera Haath Chhut Jana,
Tere Ashkon Mein Bujhta Wo Suraj Sunehra,
Bhule To Kaise Wo Chand Sa Chehra,
Wo Meethe Se Hothon Se Mithi Si Baatein,
Mohabbat Ke NagMonse Bhigi Si Raatein,
Teri KaMi Se Jalta Ye Dil Ye Sehra,
Bhule To Kaise Wo Chand Sa Chehra...
Meri hasti ki takmeel may...
Meri hasti ki takmeel may hai shamil tera hissa bhi....
main ager tujh say na milta, to adhora rehta!!!!
Chehre pe khushi chah jati hai
Chehre pe khushi chah jati hai ankhon mein suroor aajata hai,.
Jab tum MuJhe apna kehte Ho apne pe guroor Aajata hai,
Tum husn ki khud ek dunya Ho,...shayad yeh tumhain maloom nahi,
Mehfil Mein Tumhare Aane Se Har Chez Pe NooR Aajata Hai,
Hum pass se tum ko kiya dekhen JaB TuM MukaBiL HotE HO,
BetaaB NigHaooN Ke AaGy ,Parda sa Zaroor Aajata Hai....
Muje hukum hua
Muje hukum hua k kch or maangun tere siwa....,
Men dast-e-dua se uth gaya k dua kch bhi nhi, Tere siwa.........,
Mohabbat pehle pehle...
Zara aagey chalogey to izaafa ilm men hoga....
Mohabbat pehle pehle be-zararr mehsoos hoti hai....
Meri subah Teri mureed ha
Meri subah Teri mureed ha meri shaam Tere hi Naam se...
Tere dar ko chor dunga mai ye Khayaal Dil se nikaal dey...
Usey Bol do k wo kisi or se
Usey Bol do k wo kisi or se muhabbat ka na sochay ....
Aik main hi kafi hun usey umar bhar chahany k liye...
Koi Nahi Ayega
Koi Nahi Ayega Tere Siwa Meri Zindagi Me,
Ek Maut Hai Jis Ka Hum Waada Nahi Karte....!
Makhsoos Dilon ko
Makhsoos Dilon ko ishq k ilhaam hotay hain
Muhabbat moajza hai, Moajzay kab aam hotay hain..!!
Hasti ko muhabbat mai
Hasti ko muhabbat mai Fana kon kare ga,?
Ye farz zamane mein ada kon karay ga,?
Hathoon ki lakeeron ko zara dekh Najomi,
Ye dekh mere sath wafa kon karega...?
wo aksar mujh se kehti
wo aksar mujh se kehti thee,
meri bs itni khwahish ha,
kuch asy pehchani jaao,
aap k naam se jani jaao...
Tarry lot any ka
Tarry lot any ka intzaar karta hun,
daikh main tujy kitna payr karta hun,
main banata hun kagaz par terri tasweerain,
phir us see baatain hazaar karta hun,
tarry dukh bhi khaloos-e-niyat see,
apnay dukhon main shummar karta hun,
such samjhta hun jhoot bhi terra,
youn main terra aitbaar karta hon,
abhi bhi sochta hon to mari ankhain bheeg jatee hain,
A jaan -e- gazal main tum see itna payr karta hu...
Hamari aankh se...
Hamari aankh se khud ko jo dekh letey kabhi,
Tumhare haath se aainay gir gay hotay.......
Mohbton men shumar kaisa..
Mohbton men shumar kaisa...
Yaqeen kaisa..
Gumaan kaisa..
Urooj kaisa..
Ziwal kaisa..
Swaal kaisa..
Jwaab kaisa..
Mohabten to mohabten hain..
Mohabton men hisaab kaisa..!
Tjh Ko Khabar Hui
Tjh Ko Khabar Hui Na Zmana Smjh Skaaa.......
Hm Chupky Chupky Tjh Pe Kai Bar Mrr Gyee...!!!!
Tera halka sa muskura dena...
Koi poochta hai mujh se meri zindagi ki qeemat....
Mujhe yaad aa jata hai tera halka sa muskura dena...!!
Neendon ki baghawat
Neendon ki baghawat se ye nuksan hua mohsin,
Ik shakhs k khwabon ko tarasti rahi ankhen...!!!
Jis simt bhee daikhon
Jis simt bhee daikhon nazar ata hai k tum ho,
Ay jan-e-jahan ye koi tum sa hai k tum ho,
Ye khawab hai khushbu hai k jhonka hai k pal hai,
Ye dhund hai badal hai k saya hai k tum ho,
Iss deed ki sa-at main kai rang hain larzan,
Main hoon k koi or hai dunya hai k tum ho,
Daikho ye kisi or ki ankhain hain k meri,
Daikho ye kisi or ka chehra hai k tum ho,
Ye Umer-e-gureezan kaheen thehray to ye janon,
Her sans main mujh ko yehi lagta hai k tum ho,
Her bazm main mozo-e-sukhan dil zadgan ka,
Ab kon hai sheereen hai k laila hai k tum ho,
Ek dard ka phela howa sehra hai k main hoon,
Ek moj main aya howa darya hai k tum ho,
Wo wakt na aye k dil-e-zar bhee sochay,
Is shehir main tanha koi mujh sa hai k tum ho,
Abad hum ashafta siron say nahi maktal,
Ye rasm bhee iss shehir main zinda hai k tum ho,
Ay jan-e-FARAZ itni bhee tofeeq kisay thi,
Hum ko gum-e-hasti bhee gawara hai k tum ho......!!!
Mujhe Jis Se Mohabbat Hai
Mujhe Jis Se Mohabbat Hai Usse Main Paa Nahi Sakti,
Usse Paana Bohat Mushkil Usse Main Kho Nahi Sakti,
Yeh Kaisa Jabr Hai Dil Per Yeh Kaisi Meri Majboori,
Meri Aankhein Hain Nam Nam Si Magar Main Ro Nahi Sakti,
Usse Hai Pyaar Mujh Se WOH Mujhe Her Roz Kehta Hai,
Mujhe TUM Se Mohabbat Hai Usse Main Keh Nahi Sakti....
Mery har Saans sy
Mery har Saans sy wabasta hain teri Yaadain..
Shayad k tery Khayalon main Mera Naam tak na ho...
Itna Kareeb ao
Itna Kareeb ao k jee bhar k dekh loon..
Shayed k phir milo to ye Zok-e-Nazar na ho..
Yun utro mairy dil main ankho k rasty..
Mjh hi main sama Jao nazar ko b KHabar na ho.
Mudat hue mily nahi ik dosry sy ham.
Aj sub Gily mita do koi Shikwa kabi na ho.
Mery samny bethy raho me dekhta rahon.
Ruk jaye kash waqt tulo-e-sahar na ho..
Ajab rishta hai...
Ajab rishta hai mera Tum se aur Tanhai se........
Tum pas ho to woh rooth jati hai............
Woh paas ho to Tum door nazr aaty ho.......!!
Tum pas ho to woh rooth jati hai............
Woh paas ho to Tum door nazr aaty ho.......!!
Bohat Aasan Hai Kehna...
Bohat Aasan Hai Kehna
Muhabbat Tum Say Karta Hoon
Magar Matlab Mohabbat Ka
Samaj Lena Nahi Aasan
Muhabbat Paa Kay Kho Dena
Muhabbat Kho Kay Paa Lena
Yeh Un Logo K Qessay Hain
Muhabbat Kay Jo Mujrim Hain
Jo Mill Janay Pay Hanstay Hain
Bichar Janay Pay Rotay Hain
( Sunoo )
Muhabbat Karnay Walay To
Bohat Khamosh Hotay Hain
Jo Qurbat Mein Bhi Jeetay Hain
Jo Furqat Mein Bhi Jeetay Hain
Na Wo Faryad Kartay Hain
Na Wo Ashkoon Ko Peetay Hain
Mohabbat Kay Kisi Bhi Lafz
Ka Charcha Nahi Kartay
Wo Mar Kar Bhi Apnay Chahat Ko
Ruswa Nahi Kartay.....
Bas uthai hi thii..
Bas uthai hi thii kalam do bol likhne teri tarif k,
Likhte likhte ye aalam hua k gazal bangai
Mujhe maloom hai mera...
Mujhe maloom hai mera muqaddar tum nahin lekin...
Meri taqdeer se cHup kar mujhe ik baar mil jaao!!
Yeh Teri judai...
Yeh Teri judai ka gham nahi k yeh silsaly to hain roz ky..
Teri zaat is ka Sabab naheen kaye din sa Youn hi Udaas hon..
Teri Ek Haasi...
Teri Ek Haasi Pe Yeh Dil Qurbaan Kar Jaun
Aitraaz Na Ho Agar To Tera Dil Chura Le Jaun
Na Behne Du Kabhi Inn Aankho Se Aansu
Tu Kahe To Tere Saare Sitam Seh Jaun
Hasta Hua Rakhu Tere Labon Ko Hamesha
Chumkar Jinhe Woh Pyaari Muskaan De Jaun
Seene Se Laga Ke Rakhu Tumhe
Mann To Karta Hai Tujhme Sama Jaun
Sunti Hi Rahu Tumhari Dhadkano Ko
Aur Apne Dil Ki Har Baat Keh Jaun
Gham Ko Kabhi Kareeb Na Aane Du
Aur Tumhe Zindagi Ki Khushiyan Tamam De Jaun
Ajeeb Lutf aa...
Ajeeb Lutf aa raha tha Dilbar ki Dil lagi ka..
K nazren bhi mujh pr thi Aur parda bhi mujh se tha..
apna tou ban...
Apnay maan mein doob ker pa ja suragh-e-zindagi,
Tu ager MERA nahi banta na ban, apna tou ban...!
Meri aankhon se...
Meri aankhon se jo khowab dekho tm....
to shab bhar na so sako gay....
hazaar chaho na hans sako gay....
laakh chaho na roo sako gay....
ye meri palkon ki jo jhilmil hai....
tmhari chahh k jugnu hain ......
jo chaho mitana bhi to na mita sako gay tm...
Phir Kisi Yaad Nay...
Phir Kisi Yaad Nay Raat Bhar Hay Jagaya Mujh Ko,
Kiya Saza Di Hay Mohabat Nay Khudaya Mujh Ko,
Din Ko Aaram Hai Na Rat Ko Hay Chain Kabhi,
Janay Kis Khaak Say Kudrat Nay Banaya Mujh Ko,
Dukh To Yeh Hay Keh Zamanay Main Milay Ghair Sabhi,
Jo Mila Hay Woh Mila Ban Kay Paraya Mujh Ko,
Jab Koi Bhi Na Raha Kandha Mere Ronay Ko,
Ghar Ki Deewaron Nay Seenay Say Lagaya Mujh Ko,
Yub To Umeed-E-Wafa Tum Say Nahein Hay Koi,
Phir Charaghon Ki Tarah Kis Nay Jalaya Mujh Ko,
Bewafa Zindagi Nay Jab Chor Diya Hay Tanha,
Maot Nay Piyar Say Pehloo Main Bithaya Mujh Ko,
Woh Diya Hoon Jo Mohabat Nay Jalaya Tha Kabhi,
Gham Ki Andhi Nay Subah Aur Shaam Bujhaya Mujh Ko,
Kaisay Bhoolon Ga Tere Saath Guajare Lamhay,
Yad Aata Raha Julfon Ka Hi Saya Mujh Ko....
Yadon Sey Rishta.......
Yadon Sey Rishta Kal Bhi Tha,Yadon Sey Rishta Aaj Bhi Hai,
Dil Kal Bhi Apna Dukhta Tha,Dil Afsurda Sa Aaj Bhi Hai,
Tum Door Huvey Majboori Mein,Hum Toot Gaye Is Doori Mein,
Kabhi Waqt Miley Tu Lout Aana,Ye Dil Ka Dar Wa Aaj Bhi Hai,
Tum Khush Ruho Abaad Ruho, Dil Apna Tu Barbaad Huwa,
Gham Dil Ka Sahara Kal Bhi Tha,Aur Gham Ka Mara Aaj Bhi Hai,
Yeh Ashk Nahi Hain Aankhon Mein,Ye Taarey Jhilmil Kartey Hain,
In Ankhon Mein Jo Kal Tak Tha,Vohi Chaand Sa Chehra Aaj Bhi Hai,
Ab Shikwa Kisi Se Kya Karna,Taqdeer Mein Jo Likha Tha Mila,
Gham Kal Bhi Mera Sarmaya Tha,Gham Mera Virsa Aaj Bhi Hai,
Woh mil jatey hain...
Woh mil jatey hain kahani bankar,
Dil mein bas jatey hain nishani bankar...
Jinhe hum rakhte hain apni aakhon mein,
Kyun nikal jatey hain wo pani bankar...
Khayaalo ko kisi aahat ki aas rehti hai,
Nigaahon ko teri talaash rehti hai...
Tere bina koi kami nahi lekin,
Tere bagarr tabiyat udaas rehti hai...
Teray Honay Par...
Teray Honay Par Bhi Khud Ko Tanhaa Samjhoon,
Mein Bewafaa Hon Yah Tujh Ko Bewafaa Samjhoon...
Teri Be Rukhi Se Waqat To Guzar Gaya Hai Mera,
Yeh Khud Daari Hai Yah Teri Aana Samjhoon...
Teray Baad Kiya Haal Hoa Hai Mera,
Yeh Teri Inaayat Hai Yah Teri Sazaa Samjhoon...
Zakham Daitay Ho Aur Marham Bhi Lagatay Ho Wasi,
Yeh Teri Aadat Hai Yah Aada Samjhoon...
Tum Jo Hotey...
Tum Jo Hotey To Mujhe Kitna Sahara Hota,
Mein Ne Auron Ko Na Dukh Mein Pukara Hota...
Jitni Shiddat Se Wabasta Tha Mein Tujh Se,
Kis Tarah Mera Tere Baghair Guzara Hota...
Mujh Ko Yeh Soch Hi Kafi Hai Jalaney K Liye,
Mein Na Hota To Koi Aur Tumhara Hota...
Aur Hum Khamoshi Se Roye Jatey,
Shaam Hoti Sharab Hoti Aur Kisi Dariya Ka Kinara Hota...
Najane Kaun...
Najane Kaun Duaon Main Yaad Rakhta hai...
Main Doobta Hun Samander Uchaal Deta Hai...
Jaagty rahny sy bhi...
Jaagty rahny sy bhi Rukty hain kia Behty hoay Ansuu...
Umar Bhar ho gi ye Barsat Chalo Soo Jaen...
Apko Chahne Wale...
Apko Chahne Wale Kam Na Honge...
Waqt Ke Sath Shayd Hum Na Honge...
Ap Kisi Ko Kitna B Pyar Kar Lena...
Par Yaado Ke Asli Haqdar Sirf Hum Hi Honge....
Tapak Padte Hen...
Tapak Padte Hen Ansoo Jb Tumhari Yad Aati He ,
Ye Wo Barsat He Jiss Ka Koi? Mosam Nahi Hota...
Tujhe Chor bhi
Tujhe Chor bhi nahi Saktay, tera ho bhi nahi Sakte,
Ye kaisi bebasi hai aaj ham ro b nahi saktay,
Ye kaisa dard ha pal pal hamain tarpai rakta hai,
tumhari yaad aati hai tu phir so be nhi saktay
Chupa saktay hain aur na hum dekha saktay hain logon ko,
Kuch aisay daagh hain dil par jo hum dho be nhi saktay,
kaha tha chor daingay ye nagar, phir ruk gay lakin,
Tumhain pa tu nahi saktay magar kho bhi nahi saktay...
Phir Kisi Yaad...
Phir Kisi Yaad Nay Raat Bhar Hay Jagaya Mujh Ko,
Kiya Saza Di Hay Mohabat Nay Khudaya Mujh Ko,
Din Ko Aaram Hai Na Rat Ko Hay Chain Kabhi,
Janay Kis Khaak Say Kudrat Nay Banaya Mujh Ko,
Dukh To Yeh Hay Keh Zamanay Main Milay Ghair Sabhi,
Jo Mila Hay Woh Mila Ban Kay Paraya Mujh Ko,
Jab Koi Bhi Na Raha Kandha Mere Ronay Ko,
Ghar Ki Deewaron Nay Seenay Say Lagaya Mujh Ko,
Yub To Umeed-E-Wafa Tum Say Nahein Hay Koi,
Phir Charaghon Ki Tarah Kis Nay Jalaya Mujh Ko,
Bewafa Zindagi Nay Jab Chor Diya Hay Tanha,
Maot Nay Piyar Say Pehloo Main Bithaya Mujh Ko,
Woh Diya Hoon Jo Mohabat Nay Jalaya Tha Kabhi,
Gham Ki Andhi Nay Subah Aur Shaam Bujhaya Mujh Ko,
Kaisay Bhoolon Ga Tere Saath Guajare Lamhay,
Yad Aata Raha Julfon Ka Hi Saya Mujh Ko
Kabhi Dil Ko...
Kabhi Dil Ko Kabhi Shamma Ko Jala Kar Roye,
Teri Yaad Ko Dil Se Laga Kar Roye,
Raat Ki God Mein Jab So Gayi Duniya Sari,
Chand Ko Teri Tasveer Banaker Roye...
Yadon Sey Rishta...
Yadon Sey Rishta Kal Bhi Tha,Yadon Sey Rishta Aaj Bhi Hai,
Dil Kal Bhi Apna Dukhta Tha,Dil Afsurda Sa Aaj Bhi Hai,
Tum Door Huvey Majboori Mein,Hum Toot Gaye Is Doori Mein,
Kabhi Waqt Miley Tu Lout Aana,Ye Dil Ka Dar Wa Aaj Bhi Hai,
Tum Khush Ruho Abaad Ruho, Dil Apna Tu Barbaad Huwa,
Gham Dil Ka Sahara Kal Bhi Tha,Aur Gham Ka Mara Aaj Bhi Hai,
Yeh Ashk Nahi Hain Aankhon Mein,Ye Taarey Jhilmil Kartey Hain,
In Ankhon Mein Jo Kal Tak Tha,Vohi Chaand Sa Chehra Aaj Bhi Hai,
Ab Shikwa Kisi Se Kya Karna,Taqdeer Mein Jo Likha Tha Mila,
Gham Kal Bhi Mera Sarmaya Tha,Gham Mera Virsa Aaj Bhi Hai,
Hum Ne Mangi Thi...
Hum Ne Mangi Thi Ujale Ki Faqt Ek Kiran....
'JAAN'
Tum Se Ye Kis Ne Kaha Aag Laga Di Jae....!!!!!?
Yun bhi hua hai...
Yun bhi hua hai raat ko jab log so gae,
Tanhai..or hum teri yadon men kho gay,
Aa dekh tujh se log jo rehtey they door door,
Saaye men teri zulf k chup chaap so gae,
Hum wo jo saarey sheher k kertey they faisley,
Hum log teri chaah men ruswa bhi ho gay,
tum kya gay k wakt ka ehsas mar gya,
raaton ko jaagtey rahey or din ko so gae,
Ab zindagi k mailey men dhoonda kren gay log,
Arzaan huey hain itney k nayaab ho gae........!!!
Aur bhi ker deta
Aur bhi ker deta hai dard men izafa mohsin,
Terey hotey huey,orun ka dilasa dena...!!
Sirf Bandish-e-Alfaz...
Sirf Bandish-e-Alfaz Hi Kafi Nahi GHAZAL Mein
Jigar Ka Lahu Bhi Chahiye Sacchai K LIye
Jab bichar kar
Jab bichar kar tary is dil sey chala jaonga...
Dil ko seney main na paogi to yad aaonga...
Tumhi ko apna bna...
Tumhi ko apna bna k khush thay tumhi ko apna bna k roye...
Tumhari qurbat ki arzoo thi tumhi ko nazdeek pa k roye...
Zamany bhar say kareen gila kia kisi nay hum say kia bhala kia...
Wo jin ko dil main bsaya tha hum nay unhi ko dil main bitha k roye...
Najany kaisi udas rut thi k chand par bhi afsordagi thi...
Wo jo bhi guzry thay us gali say wo chandni main naha k roye...
Kahan Hotay Ho?
Hijar Mein Khoon Rulatay Ho,Kahan Hotay Ho?
Laut Kar Kyun Nahi Aatay Ho,Kahan Hotay Ho?
Mujh Se Bichray Ho To Mehboob e Nazar Ho Kis k?
Aaj Kal Kis Ko Manaty Ho,Kahan Hotay Ho?
Yaad Aati Hain Akaily Mein Tumhari Neendein
Kis Tarah Khud Ko Sulaty Ho,Kahan Hotay Ho?
Tum To Bichray They Khushion Ki Rafaqat k Liye
Ab Kiun Ashk Bahaty Ho,Kahan Hotay Ho?
Shehar k Log b Kartay Hain Ab Yehi Sawal
Tum bohat Kam Nazar Aatay Ho,Kahan Hotay Ho…???
Hum tu har baat...
Hum tu har baat khuda pay chor dety hain...
Totay na dill kisi ka dill apna tor dety hain...
Main bhi insan hoon pathar tu naheen...
Jo log har tofan ko meri taraf more dety hain..
TUMHARE BIN AB JEEYA NAHI JATA...
Badhti howi betaabiyan Intezaar bhari shamen Beqaraar see meri raaten Be noor hain meri aankhen Koi bhi rang nahi bhaata Tumhare bin ab jeeya nahi jata...
Badhti howi khamosheyan Jaagti raaten lambe din Aankhon main kuch khowab adhurae Laboon per aadhi baat Aadhi baat bhi uljhe see Uljhe batoon k saath raha nahi jata Kya karen kuch kiya nahi jata Tumhare bin ab jeeya nahi jata...!
Na hai Dushmahi...
Na hai Dushmahi kisi Din say ab
Na hai Doosti kisi Raat say
Hai Bacha hi kiya jo woh ley gaya
Mujhe cheen kar meri zaat say
ye Muqaam tha hi Ajeeb sa
k main khud ko bhi na Bacha saka
Na main paas usko bula saka
Na main Dil ki baat suna saka
Ye bhi theek hai k...
Ye bhi theek hai k wo chal de Mujhe band rasty pe choor kr...
Ye bhi theek hai k na aay ge khabi Butt Anna ka wo torr kr...
Wo Judda bhi aisy howe k main koi Rassam bhi na Nibha saka...
Na Main Pass Usko Bula Saka Na Main Dil ki Baat Suna Saka...
Wo Hanstey Hanstey Main Hi Chal De K Main Haath Tak Na Hala Saka...
Khud hi nigah
Khud hi nigah jhuk gai Samne jab wo aa gaeye
Yun bhi ada kabhi kabhi rasm-e-Salaam ho gai...
Firaq ki baarish...
Firaq ki baarish, malaal ka mausam
Hamary shehr main utra kamaal ka mausam....
Woh ik dua jo meri na'muraad laut aai
Zabaan se rooth gya phir sawaal ka mausam...
Bohat dinon se mere zehn k darichon mein
Thehr gya hy tmhare khayal ka mausam...
Mohabbtain bhe teri dhoop chaaon jesi hen
Kabhi ye hijar kabhi ye wisaal ka mausam...
Koi mila hi nhi jis ko sonptey MOHSIN
Hum apne khawab ki khushboo, or khayal ka mausam...
Faqat pehluu badalney...
Faqat pehluu badalney se
Rafaaqat kam nahi hoti
Magar phir bhi naa milney ki
Aziyat kam nahi hoti
Jahaa'n koi bichad jaaye
Wahi'n par uski manzil hai
Kisi ke saath chalney se
Musafat kam nahi hoti
Hamare dushmano'n mein
Chahney waale bhi shamil hay
So hum jis haal mein bhi ho
Mohobbat kam nahi hoti...
Bada Sath Dene Ka...
Bada Sath Dene Ka Vada Kiya Tha,
Sikwa Sehne Ka Vada Kiya Tha,
Agar Wo Hume Bhulakar Khush Hai To Koi Gham Nahin ,
Kyun ki Humne To Unko Khush Rakhne Ka Wada Kiya Tha...
Rait Pe Naam...
Rait Pe Naam Kabhi Likhte Nahi,
Rait Par Naam Kabhi Tikte Nahi,
Hum To Pathar Dil Hain,
Aur Pathar Par Likhe Naam Kabhi Mit Te Nahi...
Kesi ke Chehre Ne
Kesi ke Chehre Ne Khushbu Ko Ker Dia Pagal,
Phir Us Ke Baad Sama Ka Sama Hova Pagal...!!!
Jo Un sey Meine Kaha Zindagi Bana Lo Mujhy,
Tu Us ney Dheerey Sey Ek Lafz Keh Dia PAGAL...!!!
Mai kisi aisi jagha ki...
Mai kisi aisi jagha ki justaju may hun muhsan...
Jahan gehri tanhayi tou ho pr ehsasay tanhayi na ho...
Dar'guzer uski har...
Dar'guzer uski har WAFA kar di,
Us'ke haq me aaj phir dua kar di,
Ek lamhe mein kho dia usko,
Jis ko pane me inteha kar di,..
Khud hi nigah jhuk
Khud hi nigah jhuk gai Samne jab wo aa gaeye,
Yun bhi ada kabhi kabhi rasm-e-Salaam ho gai...
Nahi Aatay kabhi
Nahi Aatay kabhi bhi lot kar guzray huay mousam...
Barastay baadlon ki aas main tarsa nahi kartay...
Qurb ke na wafa....
Qurb ke na wafa ke hote hain,
Sare jhagre ana ke hote hain,
Baat niyat ki sirf hai warna,
Waqt sare dua ke hote hain,...
Be-khaloos logon sy..
Be-khaloos logon sy..Ijtenab karna hai..
Mujh ko apnay rishton ka..Ehtasab karna hai..
Tum ko bhool jana hai.....Tum ko yaad rakhna hai..
Dukh tu aik jaisa hai..Intakhab karna hai
Mohabbat ki haqiqat...
Mohabbat ki haqiqat se hum khoob waqif they faraz
Bas yunhi zara shoq hua tha zindagi barbad karne ka.
Ek Ada uski...
Ek Ada uski humein her ADA se pyari hai,
Banti hai anjaan,Jaanker k wo jaan hamari hai...
Banti hai anjaan,Jaanker k wo jaan hamari hai...
Kisi ne hame
Kisi ne hame aashiq kaha,
Kisi ne hame deewana kaha...
In aankhon me aansu tab aaye,
Jab apno ne hame begana kaha...
Woh Keh Gaye...
Woh Keh Gaye Ki Mera Intezaar Mat Karna,
Main Kahu Bhi To Muj Pe Aitbaar Mat Karna,
Wo Kehte hai Ke Mujhe Tumse Mohabaat Nahi,
Par Tum Kisi Aur Se Pyaar Mat Karna…
Mohabbat azmani ho to....
Mohabbat azmani ho to bus itna he kafi ha..,
zara sa rooth ker dakho mananay kon ata hay...
BOHOT KUCH TUJH SAY...
BOHOT KUCH TUJH SAY BARH KER BHI MUYASSAR THA, MUYASSAR HAY,,,
NA JANAY PHIR BHI KYUN TERI ZARURAT KAM NAHI HOTI..
Nazar jab tm se
Nazar jab tm se milti he,
Me khud ko bhool jata hon!
Bas ek dharrkan dharrakti he,
Me khud ko bhool jata hon!
Tumhen milney se pehley,
Me boht sajta sanwrta hon!
Magar jab tm sanwartey ho,
Me khud ko bhool jata hon!
Me aksar kitabon pe.
Tera hi naam likhta hon!
Magr kuch tm jo likhtey ho,
Me khud ko bhool jata hon!
Me aksar ye hi kehta hon k,
tm se pyar karta hon!
Magar jab tm ye kehtey ho,
Me dunya bhol jata hun!
Yun dil ko jalana tera
Yun dil ko jalana tera eman ho Shayad.,
Tery seny me B koi tofan ho Shayad.,
Mat mujhe Azma itna ke dam nikal jaye.,
Mery wajud me teri B jaan ho shayed.,
Meri tanhai ka rona
Kisi apnay ko khona wo kia janay,
Bina neend k sona wo kia janay,
Us shaks ne to mujh ko mehfilon mein muskratay dekha hai,
Meri tanhai ka rona wo kia ja.
Abhi na jao chor kar...
Abhi na jao chor kar..
Kay dil abhi bhara nhi..
Abhi abhi to ayi ho..
Bahar ban k chayi ho..
Hawa zara mehak to lay..
Nazar zara behak to lay..
Ye shaam dhal to lay zara..
Ye dil sambhal to lay zara..
Mein thori dair g to lon..
Nashay k ghoont pi to lon..
Abhi to kuch kaha nhi..
Abhi to kuch suna nhi..
Abhi na jao chor kar..
Kisi ki Rah main...
Kisi ki Rah main Ankhain Bicha keh Kuch nahi Milta..
Ye Dunya Bewafa Hai Dil Laga keh Kuch Nahi Milta..
Koi Bhi Loat kar Ata nahi Anso Bahany say..
Kisi ki Yad main Dil ko Rula kah Kuch nahi Milta..
Kisi kay Dil pay Kya GUzray Kisi ko kia Khabar iski..
Kisi ko Apna Hal-e-Dil Suna keh Kuch nahi Milta..
Shajar Tab hi Lagaana...
Shajar Tab hi Lagaana Jab Zameeno ko Parkh Lena..
Har ik Mati ki Fitrat Main Wafadari Nahi Hoti...
Roothna khafa rehna...
Roothna khafa rehna, ye Wafa nahi hoti.
Chahaton mein logon se kya khata nhi hoti.
Sab ko aik jaisa kiun tum samajhne lagte ho.
Kiun k sari duniya to bewafa nhi hoti.
Har kisi se yari har kisi se waadey.
Piyar karne walon mein ye ada nhi hoti.
Be-Naqaab Chehre bhi ek Hijaab rakhte hen.
Sirf saat Pardon mein to haya nhi hoti...
Galy sy laga kar...
Galy sy laga kar mujhko Nidhal rakhta tha..
Ajeb Shakhs tha kesa Kamal Rakhta tha..
Kaha Jab maine usy Meri Zindagi tum ho..
Phir us ky Bad Wo sirf Apna Khayal Rakhta tha..
Agar Voh Poch Lain...
Agar Voh Poch Lain Hamsy Tmhain Kis baat Ka gham hy..?
Tou Phir Kis baat Ka Gham hy Agar Vo Poch Lain Hamsy...
Meri Zindagi ky Raz...
Meri Zindagi ky Raz main ak raz tum bhi ho..
Meri Bandagi ki Pyas main ak Pyas Tum bhi ho..
Tum kya ho Kuch ho ya nahi..
Meri Zindagi ky Kash main ak Kash tum bhi ho...
Mery Halaat ny...
Mery Halaat ny kar dia tha khamosh mujhy..
Zara Ham CHup kia huay dosto ny Yad karna hi chor dia..
Kabhi Kaha Na Kisi Se....
Kabhi Kaha Na Kisi Se Tere Fasaane Ko
Na Jaane Kaise Khabar Ho Gayee Zamaane Ko
Sunaa Hai Gair Ki Mehfil Mein Tum Na Jaaoge
kaho Toh Aaj Saja Luu Garib Khaane Ko
Duaa Bahaar Ki Maangi Toh Itane Phul Khile
Kahi Jagaah Na Mili Mere Aashiyaane Ko
Chaman Mein Jaana Toh Sayyad Dekh Kar Jaana
Akele Chhod Kar Aayaa Huu Aashiyaane Ko
Meri Lahad Pe Patango Ka Khoon Hota Hai
Huzur Shama Na Laaya Kare Jalaane Ko
Dabaa ke Qabr mein Sab Chal Diye Duaa Na Salaam
Zaraa Si Der Mein Kya Ho gaya Zamaane Ko
Ab Aage Is Mein Tumhaare Bhi Naam Aayega
Jo Hukm Ho To Yahii Chhord Duu Fasaane Ko
Qamar Zaraa Bhi Nahi Tumko Khauf-e-Rusvaai
Ke Chandani Pe Chale Ho Unhe Manane Ko
Mujhay Tum Yaad Aatay Hooo....
Mujhy Tang Karoo Mujhe Dukh Do Mujhe Rulao..!
Magar Jab Main Marr Jaon Tou Sirf Meri Qabar Per Ik Phool Rakh Dena
Aur Kehnaa
Mujhay Tum Yaad Aatay Hooo
Hoon To Khafa....
Hoon To Khafa Us SE,
Per Janay Phir B Kiyn?
Na Chaah Kar Bhi Us Ko Chahna Acha Lagta Hai…
Haqeeqat Se Hoon Dhoor,
Ye Mujh Ko Hai Pata…
Per Jaan K Anjaan Rehna Acha Lagta Hai…
Qaayel Nahi Main Ronay Ki Phir B Kabhi Kabhi…
Tanhai Main Kuch Dair Rona Acha Lagta Hai…
Tu MERA Tha,
Tu MERA Hai,
Tu MERA Rahay Ga…
Kuch Pal Is Khawab Mein Khona Acha Lagta hai...
Aaj kisi ki duaa ....
Aaj kisi ki duaa ki kami hai,
tabhi to hamari ankhon me nami hai,
koi to hai jo bhool raha hai hame,
par hamare dil me unki jagah aaj bhi wahi hai...
Meri Zindagi Sanwaar De...
Mere Wajood Mein Wafa Ki Roshni Utaar De,
Phir Itna Pyaar De K Mujhe Chahaton Mein Maar De,
Buhat Udas Tha So Uth K Tere Paas Agaya,
Kuch Aisi Baat Kar Jo Dil Ko Qarar De,
Suna Hai Teri Ek Nazar Sanwarti Hai Zindagi,
Jo Ho Sakay Toh Aaj Meri Zindagi Sanwaar De.!!!!
tujhe aaine mein....
Abhi is taraf na nigah kar, main gazal ki palkein sawar loon...
Mera lafz lafz ho aaina, tujhe aaine mein utar loon...!!
Jo Mohabbat Nahi Karte....
Zoq-E-Deed Mein Hoti Hai Takleef Sara'sar....!!
Achy Rehte Hain Woh Log Jo Mohabbat Nahi Karte....!
Khuwabon Ki Dehleez Pe Sona...
Khuwabon Ki Dehleez Pe Sona 'Acha Lagta Hai'
Kuch Lamhon Ko Uska Hona 'Acha Lagta Hai'
Khail Khail Mai Jewan Bhr K Dukh Mit Jate Hain
Kho Kr Pana, Paa Kar Khona 'Acha Lagta Hai'
Dil Walon Ko Dekh K Woh Aise Khush Hota Haii
Jaise Bachey Ko Khilona 'Acha Lagta Hai'
Kabhi Kabhi Dil Bhar Ata Hai Hunstey Hunstey
Kabhi Kabhi Dil Khol Kar Rona 'Acha Lagta Hai'
Tujhe apne dil se main
Tujhe apne dil se main kaise bhula doon,
Teri yaad hi to meri zindagi hay..!
Tujhe kiya khabar hay k tuj se bichar kar,
Tarap kar har ek pal guzara hay main ne..
Judai k gham se pareshan ho kar,
Kahi bar tuj ko poukara hay main ne..!
Sada de raha hay tujhe piyar mera,
Meri zindagi tue kahan kho gai hay..
Tujhe bhul jana naheen mere bas main,
Mujhye dard de kar chale jane wale..
Tere gham se daman main kaise chura loun,
Har ek baat par muj ko yaad ane wale..!
In aankhon main har dam jale ga tera gham,
Kabhi na bujhe jo yeh woh roshni hay..!!!
Itna Pyar Na Do
Itna Pyar Na Do Ke Aanso Nikal Jaye ,
Chahat Ki Garmi Se Dil Na Pighal Jaye ,
Taqdir Se Mila Hai Itna Pyar Tum Se ,
Dar Hai phir Meri Kismat Na Badal Jaye . .
Mana Abhi Nai
Mana Abhi Nai Howe Hum Tere Pyar K Qabil..!
Jaana..!
Apna Na Sahi Anjan Samjh Kar Haal POch Lia Kar..!
Barish , Badal
Barish , Badal
Tum Or Main
Khushb0 , M0sam
Tum 0r Main
Kaley Badal, Rimjhim Barish
Neela Anchal
Tum 0r Main
Behti Nadiyan, Girta Pani
Ankhey, Aansu
Tum 0r Main
Pas Kisi Drya K K0i
Bheega Jh0npar
Tum 0r Main
D0r Kahin K0yal Ki K0u K0u
Gehra Jngal
Tum 0r Main
Barkha Rimjhim Geet Sunaye
Jhurmat Daley
Tum 0r Main
D0r Kahin Pr Ch0ta Sa Ek
Kach'cha Sa Ghar
Tum 0r Main
Kandha Tera 0r Sr Mera
Pagl Si Chup
Tum 0r Main
Tumhain Ik Bat Kehni Hai...
'Tumhain Ik Bat Kehni Hai,
'Magar Naraz Mat Hona,
'K Tum Jo Har Ghari Mujhko,
'Itna Yaad Atay Ho,
'Hamain Itna Satate Ho,
'K Hum Tum Dur Hain Dono,
'Bohat Majbur Hain Dono,
'Na Itna Yaad Ao Tum,
'Na Youn Itna Satao Tum,
'K Itna Yaad Aa Kar Yun,
'Hamain Pagal Bana K Tum,
'Faqat Itna Bata Do K,
'Hamari JAAN Lo Gay Kya?
'Magar Ye Bhi Haqeeqat Hai,
'Tumhari YAAD Hi To Hai,
'Jo Har Pal Sath Rehti Hai,
'Khushi Main Bhi, Ghamon Main Bhi,
'Udasi K Palon Main Bhi,
'Tumhari YAAD Hi To Hai,
'Jo Har Pal Ye Batati Hai,
'Mujhe Ehsas Dilati Hai,
K
"HUM TUM BIN ADHURE Hain''
Sukhey Nahi Aaj Tak
Sukhey Nahi Aaj Tak Teri Yaadoon K Phool
Jaana..!
Main Ne Hamesha Inko Apne Ansuoo Se Tarr Rakha Hai.
Mila karo hum se...
Mila karo hum se
aksar k jee nhn lagta
Tmhare rabte se zindagi
wajood mein hy...
Ajj Barish Me Tumare Sang...
Ajj Barish Me Tumare Sang Nahana Hy
Sapna Ye Mera Kitna Suhana Hy
Barish K Katre Jo Tere Honton Pe Gire
Un Katron Ko Apne Honton Se Uthana Hy
Tumhare Bin Nahi Rehna....
Tumhare Bin Nahi Rehna Mujhe Tumse Muhabbat Hai,
Hai Tumse Bas Yehi Kehna Mujhe Tumse Muhabbat Hai,
Zuban to Keh Nahi Sakti Tumhe Ehsas to Hoga,
Meri Ankhon Ko Parh Lena Mujhe Tumse Muhabbat Hai,
Tumhare Naam Kar Di Hai Ye Pori Zindagi Apni,
Bhalay hi Dukh Paray Sehna Mujhe Tumse Muhabbat Hai,
Hamain Ehsas Hai Tumko Bhi Humse Pyar Hai Lekin,
Ye Mere Samnay Kehna Mujhe Tumse Muhabbat Hai...!
Kya Likhun Main Aaj....
Kya Likhun Main Aaj Yaad Main Teri ?
Kya Maangu Main Aaj Faryaad Main Meri ?
Chahta Tou Bohat Kuch Hun Khuda Se Mere
Lekin Kashma Kash Main Hai Zindagi Ye Meri
Jab Dekha Pheli Baar Tujhe To Dil Se Ye Faryad Nikli
Paaunga To Sirf Tujhe Warna Aay KHUDA Ye Meri Jaan Hai Teri
Yaaron Ne Kaha Ye Kya Kiya Tune Sath Main Maangi Mout Apni
Maine Kaha Mere Sath To Khuda Hai Woh Zaroor Banegi Meri
Lekin Dheere Dheere Woh Mujhse Door Hone Lagi
Maine Samjha Hogi Uski Bhi Koi Majboori
Idhar Main Be Khabar Uske Intezar Main Baitha
Jab Hua Khabbar To ROne Lagi Yaad Main Meri
Ay Khuda Taras Khaa Hum Dono Ke Haalat Per
Kar Woh Jo Tujhe Ho Manzoor
Bas Yehi Dua Hai Tujhse Meri...!
Dil-E-Nadan....
Dil-E-Nadan Ajab Justju Main Hy
Tum Se Pir Shauq-E-Guftgu Main Hy
Juda Khud Se Karoon To Kesy Karoon
Teri Chahat To Meri Gardish-E-Lahu Main hy
Hum Mar Jayen Gy
Hum Mar Jayen Gy
Ik Din dekh Lena
Roo Do Gy Bohat
Tum Us Din Dekh Lena
Duniya Main Hain
To Parwa Nhi Hamari
Chorr Jayen Gy
Tumhain Ik Din
Dekh Lena
Aansu Chupatey
Phiro Gy Sb Se
Tum
Itna Hum Yaad
Aayen Gy Dekh
Lena
Kuch Yaadain
Meethi Meethi Si
Tum Ko Bohat
Satayen Gi,?
Tum Khud Ko Na
Rok Pao Gy Dekh
Lena,
Mana K Kuch Nahi
Hain Aaj Hum
Tumhare Liye
~ Jaana ~
Kal Tumharey
Liye Ik Yaad Ban
Jayen Gy Dekh
Lena..!
Chalo Ab Sou Hi Jaen Hum
Chalo Ab Sou Hi Jaen Hum,
K Tum Sapnon Main Aao Gi,
Hamen Phir Se Manao Gi
Aur Hum Bhi Maan Jaen Ge,
Magar Ye Bhi Zara Socho,
Agar Main Sou Gaya Aise,
K Phir Jo Uth Na Paun Main,
To Kya Tum Sou Bhi Pao Gi .. ?
Aray Pagal Zara Socho...
Meri Baaten Meri Yaaden,
Tumhen Sone Nahi Dengi,
Kisi Ka Bhi Zamane Main,
Kabhi Hone Nahi Dengi,
Suno Main Sonay Jata Hun,
k Tum Sapnon Main Aa Jana,
Chalo Ab Sou Hi Jaen Hum,
k Tum Sapnon Main Aao Gay...!
Raat bhar jo sou
Raat bhar jo sou na sakien teri yaad me
Wohi udaas aankhien sbha ka salam kehti hain
Main to Lafz Lafz....
Main to Lafz Lafz Tari zaat Hon,
Mjhe Harf Harf Tu Mita to Na,
Mana Tera Sath Hamen chahiye,
Magar is Qadar Tu Staa To Na,
Main Bikher Gaya mjhe smait Tu..!
Mari Dhool Yøun Uraa To Na,
Teri Sans Bun k Rahon Ga Main,
K wo wada youn Bhula To Na,
Tujhe Chahna Hai Dosh kia?
Jo Nahi To Itna Rula To Na..!
Qasam in mast nigahoo....
Qasam in mast nigahoo ki main wo labrez sagar hun
Jo masti main chalak jaun to sara mehkhana lay dobun...
Roth Jati Ho To...
Roth Jati Ho To Kuch Aur Haseen Lagti Ho
Ye Soch Ker Hum ne Tumhe Khafa Rakha Hai .. !!
Tu Jab Bhi Koi DUA Kary.....
Tu Jab Bhi Koi DUA Kary
Mera Rab Tujhy Woh Ata Kary
Teri JhoLi Khushyon Se Bhari Rahy
Bin Mange Sub Woh Ata Kary
Tu Haat Uthaye Baad Main
Mera Rab Wo PehLy Ata Kary
Har DilL me
Har DilL me Dard chupa hota hai
BAYAN krne ka ANDAZ juda hota hai
Kch log ANKHON se Dard baha detey hai
Aur kisi ki HANSI mai b dard chupa hota hai...!!
Ye bhi ek tamasha hai....
Ye bhi ek tamasha hai bazar e ulfat mein,
'GHALIB'
Dil kisi ka hota hy or bus kisi ka chalta hy...
Mere kandhe par sir rakh kar....
Mere kandhe par sir rakh kar usne pocha k kab tak apne kande pa sone doge,
Maine hanste hwe kaha jab tak log mjhe kandha nhn de datey...
Tanhaai Mein Jo....
Tanhaai Mein Jo Choomta Hai Mere Naam Ke Haroof…!!
” F A R A Z “
Mehfil Mein Woh Shakhs Meri Taraf Dekhta Bai Nai..!!
Mohabbat khwab hoti hy
Mohabbat khwab hoti hy,
Mohabbat bat hoti hy,
Jo koi poch bathe to,
Mohabbat raaz hoti hy,
Machalti umangon ka,
Suhana sath hoti hy,
Jo koi dhndna chahe to,
Mohabbat nayab hoti hy,
Mohabbat phool hy shayad,
Ghamoon ki dhool hy shayad,
Chamakti raat hy shayad,
Kisi ki yad hy shayd,
Mohabbat pur sukoon b hy,
Magar be taab bhi hy,
Mohabbat to mohabbat hy ye la jawab hy,
Na mile to jaan ka azab hy.
Poocha Jo Unse...
Poocha Jo Unse Chaand Nikalta Hai Kis Terhan
Janaaa
Zulfon Ko Rukh Pe Daal Kar Jhatka Dya Kay Yun
Husan-E-Shama Likhon...
Husan-E-Shama Likhon Ya Sharab Likhon..?
Humdam Likhon Sathi Likhon Ya Khuwab Likhon..?
Tere Sarapa-E-Husan Se Heeraan Hon Main
Mehjabeen Likhon Sehar Likhon Ya Aaftab Likhon?
Teri Zulf Jo Chupati Hai Chehra Tera
Raqeeb Likhon, Naagin Likhon Ya Naqaab Likhon?
Nazar Utha K Jo Chal Diye Tum
Be-Ruki Likhon Bewaafai Likhon Ya Hijaab Likhon?
Khatam Ho Jata Hai Zakhiira-E-Alfaaz
Dil To Kehta Hai Teri Taareef Be-Hisaab Likhon.........!
Udas Mat Hua Karo....
Udas Mat Huwa Karo..
Udas Mat Kiya Karo..
Ye Ashk Teri Ankh K,
Udas Sham Ki Tarha,
Brha Rahe Hain Dukh Mere,
Adhure Jaam Ki Tarha,
Jo Ranj-O-Gham K Saye Hain,
Ye Hum Ne Khud Banaye Hain,
Ye Khwab To Azab Hain,
Jo Ankh Main Sajaye Hain,
Ye Dard Dhul Hi Jayenge,
Ye Waqt Beet Jayega,
Jo Hum Nahi To Na Sahi,
Koi To Jeet Jayega
Jo Taiz Kar De Dhrkanen
Wo Naam Mat Liya Karo
Jo Ho Skay To Hum-Nasheen
Hansi Khushi JIYA Karo
Udas Mat Huwa Karo
Sirf is wajha sy
Sirf is wajha sy,Tum sy muhabat karty hain ham..
Hamaray tou koi nahi,Tmhara tou koi ho.
Bichar janey ki jaldi hay....
Yahi hay naa,Tumhen ham se bichar janey ki jaldi hay....
Kabhi milna,Tumhare masaale ka hall nikalen gay...
Abhi to paon k neechay zameen mehsoos hoti hay...
Jahan ye khatm hovey gi waheen per ghar bana len gay.
Dhoop Mai Barish
Maine Us'sey Pucha Tha
Kya Dhoop Mai Barish Hoti Haii
Woh Hunstey Hunstey Rone Lagi
Aur Dhoop Mai Barish Honey Lagi
Mere Baghair Nahi Hogi...
Mere Baghair Nahi Hogi Teri Shanakht Kabhi Puri
Janaaa
Teri Zindagi K Saath Mere Hawaley Bht Hain...
Woh Tujh Ko Bhoole Hai
Woh Tujh Ko Bhoole Hai Tou Tujh Py Bhi Lazim Hai . . ?
Khaak daal Aag Laga Naam Nah Le Yaad nah Kar
Wo B Kya Shakhs Hai
Wo B Kya Shakhs Hai Khulta Hi Nhn Bhaid Us Ka,
MOhsiN
Jb B Dekhon Usay Dunya Sy Khafa Hi Dekhon.
Kis Qadar Tanha
Mujhe Ab Pata Chala k Mein Kis Qadar Tanha Ho0N......
Peechay Jo Mur K Dekhun T0u Saaya B muh Phair Leta Hai...
Unn Masoom Aankhon Mein
Khudaya Unn Ke Hissay Ka Bhi Gham Mujko Ata Kar De...,
Ke Unn Masoom Aankhon Mein Nami Acchi Nahi Lagti...!!!
Na Udas Hoon Na...
Na Udas Hoon Na Qarar Hai, Meri Kaifiat Ik Charagh Si
Woh Chale Gaye To Mein Bujh Gaya, Woh Jo Aa Gaye To Mein Jal UthA...
ShiKayat Thi Tum Se
ShiKayaT tHi tUm sE GiLa nA kAr sakE !
''FaRaz''
IjaZaT nAhi ZaBan ko tErE kHilaF BoLnE ki
Kabhi poch kar dekho
Kabhi poch kar dekho mujh se apni yaado ka aalam Faraz..
Sari sari raat sitaro se tera zikr kiya karte hain
Ye teri jheel si
Ye teri jheel si ankhon me rattjagon k bhanwr
Ye tere phool se chehre pe chandni ki phuwaar
Ye tere lub, ye dayar-e-yaman k surkh aqeeq
Ye aainay si jabeen, sajde gaah-e-lail-o-nihaar
Ye be niaz ghannay janglon se baal tere
Ye phoolti hui sarson ka aks galon pr
Ye dharkano ki zubaan bolte hue abru
Kamand dal rhe hen mere khayalon pr
Ye narm narm se hathon ka garm garm sa lams
Gudaaz jism pe billor ki tehon ka samaan
Ye ungliyan ye zamurd tarashi shakhen
Kiran kiran tere danton pe motion ka gumaan
Ye chandni me dhulay pao jb b rqas kren
Fizaa m un ginay ghungru chanakne lagtay hen
Ye pao jb ksi rastay me rang brsaaen
To mosmon k muqaddar chamaknay lagtay hen
Teri jabeen pe agr haadson k naqsh ubhren
Mizaaj-e-gardish-e-doraan b larrkhra jye
Tu muskraye to subhen tje salam kren
Tu ro pde to zamanay ki aankh bhr aye
Tera khayal hy khushbu, tera libaas kiran
Tu khak zaad hy ya aasmaan se utri hy
Mai tjko dekh k khud se sawal krta hy
Ye moj-e-rang zameen pr kahan se utri hy
Mai kis trah tje lafzon ka pairahan bakhshu
Mere hunar ki bulandi to sr nigoon nhy abi
Tere badan k khadd-o-khaal mere bs me ny
Mai kis trah tje sochoon yehi junu hy abi
Milay hen yu to kai rang k haseen chehray
Mai be niaz rha moja-e-saba ki trah
Teri qasam teri qurbat k mosmon k bagher
Zameen pe mai b akela phira khuda ki trah
Mgr mai shehr-ehawadis k sang zaadon se
Ye aainay sa badan kis trah bachaon ga
Mje dr hy ksi roz tere qarb samait
Mai khud b dukh k samundr me doob jau ga
Mje ye dr hy k tere tabassmon ki phuwaar
Yunhi wafa ka taqaza, haya ka tor na ho
Tera badan, teri dunya hy muntazir jiski
Mai sochta hu meri jaan wo koi or na ho
Mai sochta hu mgr sochnay se kia hasil
Ye teri jheel si ankhoin me rattjagon k bhanwr
Ye na ho ga mujh sy
mai laakh toot jaon khud sy hi rooth jaon,,,
per ye na ho ga mujh sy k mai us ko bhool jaon...
diyar-e-noor me
diyar-e-noor me meri shabo ka sathi ho
koi to ho jo meri wehshaton ka sathi ho
me usse jhoot b bolu to wo mujh se sach boley
mere mizaj k sabhi mosmo ka sathi ho
me is k hath na aun or wo mera hokr rahe
me gir parun to meri pastiyon ka sathi ho
wo mere nam ki nisbat se moutabar ho
gali gali meri ruswayon ka sathi ho
kare kalam mujh se wo mere lehje me
me chup rahun to mere tewaron ka sathi ho
wo khwab dekhe to dekhe mere hawale se
mere khyal k sabi manzaron ka sathi ho
Taskeen-e-muhabat kAy
Taskeen-e-muhabat kAy faqat dO hE tareiqay thAy..
Yeh diL nA baNa hoTa, yA tUm nA baNay hoTay..!
Jal Jao Kari Dhoop Main
Maine Apni Zindagi Se Yehi Seekha ..!
Yaaron..!
Jal Jao Kari Dhoop Main...!
Khamoshi Se Lekin..!
Apno Se Kabhi Saya-E-Deewar Na Maangoo..!
Rooh Estrah Muztarib
Rooh Estrah Muztarib Hey Meri,
Jaisy,
Na Jism Se Nikalti Ho,
Na Theherti Ho Jism Main...!
Sham hone lagi
Sham hone lagi yaad aya koi,
Aankh rone lagi yaad aya koi,
Hum akele rahe, sham dhal bhi gai,
Raat hone lagi yaad aya koi,
Uski yad men hum kitne madhosh thy,
Nend jane lagi yaad aya koi,
Raat taroon bhari naya silsila lai,
Raat hum ko satane lagi yaad aya koi.....
Teray Sabhi Ghumon Ko
Teray Sabhi Ghumon Ko Sameit Lon, Main Tujhay Itna Pyaar Don
Teri Udasiyon Ko Mita Kay, Teri Har Shaam Nikhaar Doon
Teri Aankhon Main Chupi Kheezan Mujh Pay Asar Kar Gaii
Teray Wajood Ko Mehka Day Jo, Teray Labon Ko Wo Bahaar Don
Teri Ak Muskurahat Ka Bdal Kuch Ho Nahi Sakta Mager
Jo Milay Tujhay Khushi Ager Main Apni Jaan Bhi Waar Don
Aa Giya Hay Jo Hijar Ka Daur Teray Meray Darmiyaan
Jo Milain Mujhay Fursatein Yeh Waqt Ka Qarz Utaar Don
Teray Dil Ki Raunaqain Murjha Gaii Hain Jo Is Terha
Laga Kay Apnay Seenay Say Teri Dharkano Ko Qaraar Don
Meri Nighaa Bhi Hay Teri Ak Nazar Ki Muntazir
Jo Karay Tu Idher Nazer, Tujhey Dua'een Be-Shumaar Don
Na Dhan Say Na Daulat Say, Na Duniya Say Koii Waasta
Milay Jo Bas Tu Ager, Teray Sung Zindagi Guzaar Don
Ye Aankh Bhi.....
ye aankh be, ye khuab be, ye raat be uski
har baat pe yaad aati hai har baat be uski
jugno se chamaktay hain usi yaad ke dam se
aankho'n me'n li'ey phrtay hain soghaat be uski
har shulay ke peechay hai usi aag ki sorat
har baat ke parday me'n hakayaat be uski
lafzo'n me'n sajatay hain usi husn ki khusbo
aankho'n me'n chupatay hain shakayaat be uski
kya kiji'ey achi hame'n lagti hai hamesha
dewaangi e dil me'n har baat be uski
jis shakhs ne manzar ko na'ey phool di'ey thay
hain dour e khiza'n par anayaat be uski
aata hai nazar majma e ahbaab me'n
lakho'n me'n akali hai mgr zaat be uski
Makhsoos Diloon Ko....
MakhSooS DiLoOn Ko IshQ K Ilha'am HOoTay Hain,
MoHabbat Ma'uJaza Hai, Ma'uJazay Kab Aam HOoTay Hain.....!!!
Meri Jaan aa Meray....
Meri jan aa meray aangan mein zara sham k bad
Mil k mangen ge muhabbat ki dua sham k bad
Jinki taqdeer mein khuwab nhi neend nhi
Aurh letay hain sitaron ki rida sham k bad
Aao mil baith k kuch waqt guzaren jaana
Mein sunaon tujhy, tu apni suna sham k bad
Tum mujhy chor gaye sham se pehle pehle
Yeh na poocho mera kia haal hua sham k bad..!!
Mere Jeevan Ke...
Mere Jeevan K Sab Hi Pur No0r Ujaalo0n Ki Qasam,
Meri Subah Teri Chahat K Chiragho0n Se Jala Karti Hai...
Sawal Ye Tha...
Sawaal Yeh Thaa Key Husn_e_Yaar Kaisaa Hai.....
Jawaab Yeh Hai Key Us Kaa Koi Jawaab Nahi,!!!!!
Meri Zindagi Tou...
Meri zindagi to firaq hai,
Wo azal sy dil may makeen sahi,
Wo nigah.e.shok sy dor hai,
Rag.e.jan sy lakh kareen sahi,
Humen jan deni hai ek din,
Wo kisi tarhan wo kahin sahi,
Humen ap khinchiye dar par,
Jo nahin koi to hum e sahi,
Sar.e.tur ho sar.e.hashr ho,
Humen intazar kabol hai,
Wo kahin milay wo kbi milay,
Wo kahin sahi wo kbi sahi,
Na ho un py kuch mera bas nahin,
K ye ashiqi hai hawas nahin,
Main unhi ka tha main unhi ka hu,
Wo mere nahin to nahin sahi,
Mujhe bethnay ki jaga milay,
Meri arzu ka bharam rahay,
Teri anjuman may agar nahin,
Teri anjuman k kareen sahi,
Tera dar to humko na mil saka,
Teri rah guzar ki zameen sahi,
Humen sajda krny sy kam hai,
Jo wahan nahin to yahin sahi,
Meri zindagi ka naseeb hai,
Nahin door mujh sy kareeb hai,
Mujhe uska gham to naseeb hai,
Wo agar nahin to nahin sahi,
Jo ho faisla wo sunaiye,
Usay hashr par na uthaiye,
Jo karen gy ap sitam wahan,
Wo abi sahi wo yahin sahi,
Unhen dekhnay ki jo lo lagi,
To naseer dekh hi len gy hum,
Wo hazar aankh sy dor hon,
Wo hazar parda nashin sahi..!!!
Mujhay Khamosh Raahon Mein...
Mujhe Khamosh Raahon Main Tera Saath Chahiye
Tanha Hy Mera Haath Tera Haath Chahiye
Mujh Ko Mere Muqadar Per Itna Yaqeen To Hy
Tujhko Bhi Mere Lafz Meri Baat Chahiye
Main Khud Apni Shairy Ko Kiya Acha Kahun
Mujh Ko Teri Ta'reef, Teri Daad Chahiye
Ehsas-E-Muhabat Tere Hi Wastey Hai
Lekin
Junoon-E-Ishq Ko Teri Har Soughat Chahiye
Tu Mujh Ko Paany Ki Khwahish Rakhta Hai Shayad..!
Lekin
Mujhy Jeeny K Liye Teri Hi ZAAT Chahiye..!
Teri Muhabbat K Piyasay Thy...
Teri Mohabbat K Piyasay Thy Tou Hath Phela Dya ..!
Warna..!
Hum Tou Apni Zindagi K Liye Bhi Dua Nahi Karte..!
Warna..!
Hum Tou Apni Zindagi K Liye Bhi Dua Nahi Karte..!
Ye Jo Zeest Ka Safar Hai
Ye Jo Zeest Ka Safar Hai
Ye Jo Rasta Hai Mera
Tum Agar Na Sath Do gye
To Yeh Kis TArhan Kate Ga
Meri Soch Ki Hadoon Tak
Ye Guman Bhi Kaise Aye
Koi Pal Bina Tumhare
Bhala Kaise Beet Jaye
Mere Paas Tum Nahin Ho
Mere Paas Kab Nahin HO
Meri Yaad Ke Nagar Mein
Mere khawab Ke Safar mein
Meri Soch Ki Tehon Tak
Meri Aankh Kay Bhanwar May
Mere Dil-O-Jaan Mein Tan May
Meri Hasraton Kay Ban May
Mere Dil Ki Tergi may
Meri Shab Ki Roshni May
Haan Tumhin Ho Har Kahin H
Mere Paas Tum Nahin Ho
Mere Paas Kab Nahin Ho
Meri Har DUA Ka Mehwar
Bas Aik Aarzoo Tumhari
is Aarzoo Ke agye
Koi Rasta Nahin Hai
Tumhen Kis Qadar Hai Chaha
Yeh Tumhen Pata nahin hai
Har Subah Nikal Parti.....
Har Subah Nikal Parti Hai Jo Khud Ki Talash Main..
Woh Khoi Hui Si Ek Pehchan Hoon Main..
Na Aankhon Mein Khuwab Hai Na Dil Mein Tamanna Koi..
Apni Banai Hui Rahon Se Hi Anjaan Hoon Main..
Kabhi Zara Si Baat Par Ansu Baha Deta Tha Jo..
Aaj Rah Mein Pari Lash Ki Tarah Bejaan Hoon Main..
Aankho Mein Khuwab Sajany Ki Bhi Saza Hui Hai Mujh Ko..
Khilny Se Pehly Hi Jo Toot Jaye Aisa Ek Arman Hoon Main..
Jany Kitny Hi Khuwab Dafana Chuka Hoon Is Dil Mein..
Ab To Lagta Hai Jaisy Khud Hi Ek Qabrastan Hoon Mein..
Wo Shakhs Mujhay...
Itna tasalsul tou meri sanso mein bi nahi...
Jitna rawani se wo shakhs mujhay yaad aata hay.....!!!!
Zara Batao Na...
zara batao na kiya bat hey
dil q itna aaj udas hey
chup bethy ho bari dair sey
koi to waja e khas hey
jo chor gya usey bhool jao
ab fikar karo jo pas hey
kesy guzrten hen shabo roz ab
tjhy zara sa bhi ehsas hey
too kitna us k lye khas hey
jo chala gya hey door bohat
q dil k wo ab b pas hey
koi he jo usey bata dey jakar
wo kisi ki zindagi ki aas hey
ja mana ley shakir mehboob ko
toot na jaey ye jo ik sans hey
Mein Bojh Ban Jao Ga....
Main Bojh Ban jaonga aik din Apne Hi DoStOn Pe JAB.
Kandhay Badal Rahay Honge Wo Har Do Qadam K Baad
Meri Zindagi Tou
Meri zindagi to firaq hai,
Wo azal sy dil may makeen sahi,
Wo nigah.e.shok sy dor hai,
Rag.e.jan sy lakh kareen sahi,
Humen jan deni hai ek din,
Wo kisi tarhan wo kahin sahi,
Humen ap khinchiye dar par,
Jo nahin koi to hum e sahi,
Sar.e.tur ho sar.e.hashr ho,
Humen intazar kabol hai,
Wo kahin milay wo kbi milay,
Wo kahin sahi wo kbi sahi,
Na ho un py kuch mera bas nahin,
K ye ashiqi hai hawas nahin,
Main unhi ka tha main unhi ka hu,
Wo mere nahin to nahin sahi,
Mujhe bethnay ki jaga milay,
Meri arzu ka bharam rahay,
Teri anjuman may agar nahin,
Teri anjuman k kareen sahi,
Tera dar to humko na mil saka,
Teri rah guzar ki zameen sahi,
Humen sajda krny sy kam hai,
Jo wahan nahin to yahin sahi,
Meri zindagi ka naseeb hai,
Nahin door mujh sy kareeb hai,
Mujhe uska gham to naseeb hai,
Wo agar nahin to nahin sahi,
Jo ho faisla wo sunaiye,
Usay hashr par na uthaiye,
Jo karen gy ap sitam wahan,
Wo abi sahi wo yahin sahi,
Unhen dekhnay ki jo lo lagi,
To naseer dekh hi len gy hum,
Wo hazar aankh sy dor hon,
Wo hazar parda nashin sahi..!!!
Teri Chahton Se...
Is Haqeeqat Ko Na Hone Dena Logon Pe Aayan.!
K Teri Chahaton Se Chalti Hain Sansain Meri.!
Khusbon Ka Koi Jhonka....
Tumharey Ghar K Aangan Mai
Jab Kabhi Mottiya Mehkey
Tou
Khushbuu Ka Koi Jhonka
Hamarey Naam Kar Dena.
Har Shakhs Tha
Har Shaks Apney Chaand Se Tha Mehv-e-Guftugu,
Mai Apna Chaand Dhoondhta Raha Aur Subha Hogai.
Itne Anmol Thy
Itna Anmol Thy K Khareed Na Saka Koi Hum Ko,
Hairaan Hoon K Tere Hathon Bika Tou Bika Kaise..
Welcome Note
The Blog for Poetry Lovers is created and i assure you get the unlimited Poetry there....Keep Visiting and Enjoy....
Subscribe to:
Posts (Atom)
ExperInn make you earn just by uploading Images, Music, Videos, Replying to Forums etc etc
Click here to Register