Jis simt bhee daikhon


Jis simt bhee daikhon nazar ata hai k tum ho,
Ay jan-e-jahan ye koi tum sa hai k tum ho,

Ye khawab hai khushbu hai k jhonka hai k pal hai,
Ye dhund hai badal hai k saya hai k tum ho,

Iss deed ki sa-at main kai rang hain larzan,
Main hoon k koi or hai dunya hai k tum ho,

Daikho ye kisi or ki ankhain hain k meri,
Daikho ye kisi or ka chehra hai k tum ho,

Ye Umer-e-gureezan kaheen thehray to ye janon,
Her sans main mujh ko yehi lagta hai k tum ho,

Her bazm main mozo-e-sukhan dil zadgan ka,
Ab kon hai sheereen hai k laila hai k tum ho,

Ek dard ka phela howa sehra hai k main hoon,
Ek moj main aya howa darya hai k tum ho,

Wo wakt na aye k dil-e-zar bhee sochay,
Is shehir main tanha koi mujh sa hai k tum ho,

Abad hum ashafta siron say nahi maktal,
Ye rasm bhee iss shehir main zinda hai k tum ho,

Ay jan-e-FARAZ itni bhee tofeeq kisay thi,
Hum ko gum-e-hasti bhee gawara hai k tum ho......!!!

No comments:

Post a Comment

ExperInn make you earn just by uploading Images, Music, Videos, Replying to Forums etc etc Click here to Register